Header Ads

Janiye kab aur kaise duniya ke samne aaye aapke pasandida Fast Food.

Fast Food photo
Dosto, Agar ham aap se puchhe ki aapka favorite fast food kya hain to aap mein se jyadatar ka jawab hoga, Burger, Pizza, Noodles ya phir French Fry. Lekin kya aap jante hain ki aapke pasandida food items kab aur
kaha se duniya ke samne aaye ? Chaliye ham batate hain aapko ?

1. Burger :- Mast motu Burger 1904 mein America ke Saint Louis shahar mein huye world fair mein pahli baar aam logo ke liye rakha gya. Sab iske swaad ke diwaane ho gye. Lekin ise asali pehchan di D. Walter Anderson ne. American Anderson ne White Castle Hamburger Chain shuru ki , Jo ki duniya ki sabse purani burger Chain hain. Aaj hum sab maje se ise khate hain.


2. Pizza :- Pizza ka naam sunkar mooh mein paani aa gya na! Italy ke Naples se duniya bhar mein pahucha modern Pizza. Vaise tasty-tasty pizza ki shuruvat Yunan (Greece) mein hui thi. Karib  6-4 B.C. ke samay tak Greece ke log Bread par khoob saara Oil, Herb aur Cheese laga kar khate thay. 18vi Sadi mein pahli baar Italy ke logo ko Flat Bread ka idea aaya. Halaki ki Modern Pizza ki shuruvat 1889 mein huyi, Jab Queen Margherita Italy pahuchi to vaha ke logo, Khas karke kisaano ko ise pade paimaane par khate huye dekha. Unhone ise taste kiya aur iski mureed ho gyi. Aaj bhi unke naam se "Margherita Pizza" Popular hain.


3. Noodles :- Tasty chatpate Noodles China mein kareeb  5000 B.C.samay  tak taiyaar ho gye thay aur Phir vaha se dusre Asians country mein pahuche. Sabse purane Noodles China ke Yellow River ke paas paye gye. Radiocarbon Dating ke jariye yeh pata laga ki yeh kareeb 4000 saal purane hain. Noodles ka sabse purana likhit (Writing) mein jikr milta hain Han Period (25-220) ke kitab mein. Chin se shuru huye noodles alag-alag desho mein pahuche aur phir alag-alag swaad mein taiyaar hone lage.


4. French Fries :- Sabse suhane wale French Fries yani Fried Potatoes ko Pommes Frites bhi kaha jata hain. France ya Belgium mein iski shuruvaat huyi iske baare mein kuch kaha nahi ja sakta hain. Khas karke Belgium mein is mudde par khasa Vivad (controversy) raha hain kyonki Pommes Frites ko vaha National Food mana jata hain. France mein iski shuruvat shayad Rajdhani Paris ke sabse purane Pull (Bridge) " Pont Neuf " par hui. Sadak par khomcha lagane walo ne 1789 ki kranti se theek pahle iski shuruvaat ki. Food experts yeh mante hain ki yeh street food hain aur nichle tabke se iski shuruvaat hui, par ab to yeh sabka favorite ban gya hain.


5. Sandwich :-  Britain se popular hua simple swadisht Sandwich. Mazedaar yeh hain ki Sandwich ka naam ek shahar se milta hain. Darasal, Sandwich Britain ke ek chhote se shahar ka naam hain. Sabse pahla Sandwich 1762 mein banaya gya tha. Sandwich Shahar ke chauthe (4th)  Earl "John Montagu" game khel rahe thay. Unhe bhookh lagi, Lekin vah game ko adhoora chhodkar nahi jana chahte thay, Isliye unhone kaha ki unhe Bread ke beech mein Meat ka tukda laga kar de diya jaye. Yahi se Sandwich ki shuruvaat hui. Ajeeb baat yeh hain ki bhale hi is Sandwich shahar se puri duniya ko Sandwich mila hain, Lekin is Sandwich shahar mein Sandwich ki ek bhi dukaan (Shop) nahi hain.


6. Chocolate :- Meetha yummy chocolate mukhya roop se cocoa se banta hain, Jiski khoj 2000 saal pahle ki gyi thi. Kaha jata hain ki 1528 mein Spain ke raja ne Mexico par jeet haasil  ki to vah apne saath bhaari matra mein Coco ke beej lekar aaye. Isi liye Spain ki rasoion (Kitchens) mein Chocolate Drink mashhoor (popular) ho gya. Chocolate pahle bahut teekhi hua karti thi. American log isme bahut saare masaale pees kar milaya karte thay. Baad mein Europe ne isme se Mirch ko hata kar Cheeni aur Doodh daalkar ise meetha banaya. Phir to Chocolate ne sabko apna deewana bana liya.


7. Chips :- 1853 mein tukke se kurkure chips duniya ke samne aaye. Vanderbilt naam ke ek shaksh (aadmi) ne Saratoga Springs (New York) ek restaurant 'Moon Lake House' mein French Fries ka order diya. Waiter jab Aaloo ke mote katle lekar aaya to Vander ne patle katle laane ka order diya. Chef George Crum ne kam mote French fries banaye, Par Vander ne aur patle aur kurkure banane ke liye kaha. Chidhkar ya gusse mein aakar Crum ne kagaz ke jaise patle katle bana dale aur Vander ko vah kafi pasand aaye. Is tarah se Saratog Chips banane lage jo baad mein kai swaad mein bhi aaye.