Header Ads

Hume ubaasi kyon aati hain. What is reason of Yawning in Hindi

Ubaasi kyon aati hain?Kya aapne socha hain ki kisi dusre person ko ubasi leta dekhkar aapko bhi ubaasi kyon aane lagti hain? Ubaasi lene ka waqt kya hota hain ya phir insaan kis umar se ubaasi lena shuru kar deta hain?

Yun to Ubaasi ek normal physical process hain, Lekin isse judi kai chhoti-badi baato par hum dhyaan nahi dete hain. Halaki Doctor Ubaasi ko infection nahi mante hain, Lekin yeh kafi hud tak isi tarah se badi tezi se ek vyakti se dusre aur dusre se teesre vyakti mein phailti hain.

Ubaasi ko lekar hamare smaaj mein bahut saari galatfahmiya hain. Maslan ise neend aane ya boriyat se jodkar dekha jata hain. Jabki Princeton University ke Scientist dwara kiye gye research mein pata chala hain ki Ubasi neend ya boriyat ka sanket nahi hain, balki yeh dimaag ke taapman ko control mein rakhti hain. Hamare sharir ki banaavat aur work process kuch is tarah se manage hain ki na chahte huye bhi Ubasi ki situation mein eka-ek mooh khool jata hain. Jisse dimaag ko thandak to milti hi hain saath hi chehre ke muscles mein bhi khichaav hota hain.

American Academy of Sleep Medicine mein publish research ke according ubaasi sharir mein Oxygen ki kami ki bharpaai bhi karti hain. Darasal jab fefdo ko pump karne liye sahi matra mein oxygen nahi milti hain to veh mooh se ubaasi ke jariye oxygen ki bharpaai karta hain. Dimaag apne valves ko thanda rakhne ke liye ubaasi leta hain.

Saal 2004 mein kiye gye ek research mein yeh baat nikal kar saamne aayi hain ki 50% log saamne wale ko dekhkar ubaasi lete hain. 2012 mein kiye gye research ke mutabik Anuvanshik (Family Relation) aur bhavnatmak (Sentimental)  roop se jude logo ko ubaasi lete dekh kar adhik ubaasi aati hain.

Yeh to saaf hain ki insaano ke saath kai janwar bhi ubaasi lete hain. Lekin kya aapko pata hain ki Ek Bhroon (Fetus) Maa ke garbh mein 11 vein hafte se hi  ubaasi lena shuru kar deta hain. Aam-taur par ubaasi ki samayvidhi 6 second ki hoti hain, Lekin kabhi-kabhar isse thodi lambi bhi ho sakti hain. Ek Insaan apne puri life mein lagbhag 240,000 baar ubaasi leta hain.

America ke National Institute of Health ke researchers ne yeh paya ki insaan ko jyada ubaasi aana bhi kafi kuch bayan karti hain. Maslan agar aapko thodi-thodi der baad ubaasi aa rahi hain, to yeh Aneendra ki nishani hain, Jisse aage chalkar kai tarah ki bimariya ho jati hain. Ubaasi ko rokne par bhi sharir par bura asar padta hain. Isliye doctors bhi kahte hain ki ubaasi aane par ise rokna nahi chahiye.