Header Ads

Vaseline ke fayde (Benefits of Petroleum Jelly)

Photo of Vaseline Petroleum JellyAam taur par saalbhar aur khas taur par sardiyo mein hamari tavcha ka khyaal rakhne wala Vaseline (Petroleum Jelly) beshak aapki zindagi ka hissa hoga. Lekin kya aap jante hain, rukhepan se tavcha ki raksha karne wala Vaseline, Kai tarah se aapke liye madadgar sabit ho sakta hain. Nahi jante hain to ab janiye Vaseline ke fayde :-

Keywords :- Vaseline ke fayde aur gharelu upyog, Vesline ke fayde, Veseleen ke fayde, Vaslen ke fayde, Vaisleen ke fayde, Veslan ke fayde Home Benefits of Vaseline. Petrolium gelly ke fayde, Petroleum jelly ke fayde. Veselene ke fayde Skin ke liye. Vasalene. Vaseline benefits in Hindi.


1. Iska sabse bada fayda hain, tavcha ki dekh-bhaal. Yeh aapki tavcha ko rukhepan se bachata hain, aur naram aur mulayam banata hain. 
 

2. Hontho par Vaseline ka upyog phate hontho se nijat dilata hain, Saath hi ise Strawberry ya anya phal ke gude ke saath mix karke aap ghar par hi natural Lip-Bam taiyaar kar sakte hain, Jo aapke hontho ko komal aur gulabi banaye rakhne mein madadgar hoga. 
 

3. Rukhi Kohni ki dararo ko theek karne mein Vaseline aapki madad karta hain, aur iske kalepan ko bhi door karta hain. 
 

4. Agar aap kanhi bahar ja rahe hain to Kohni, Ghutne aur Pair ke panje ke peeche wale hisse par vaseline lagaye, Isse kali lakeere chhup jayengi aur chamak badh jayegi. 
 

5. Agar aap apni palako ko lamba aur khoobsurat dikhana chahte hain, to bas jara si Vaseline, aapki yeh khawaaish puri kar sakta hain. Ise lagane ke baad aapki palake dikhengi chamakdaar aur khoobsurat.
 

6. Aap apne sharir par lage Perfume ki khusboo barkarar rakhna chahte hain, to apni kalaai aur gale par perfume ke saath thoda sa Vaseline laga kar rub kare. Bas ho gya aapka kaam. Ab der tak yeh khusboo aapke saath rahegi. 
 

7. Kisi shaadi ya party mein ja rahe hain, to toote do-moohe baalo ko chhupane ke liye Vaseline ek behtar upay ho sakta hain. Ise dono haatho mein ragadkar halke haatho se baalo par lagaye. Ise lagane ke baad baalo mein chamak aa jayegi.
 

8. Purane jooto ko naya banane mein Vaseline aapki help kar sakta hain. Thoda sa Vaseline apne jooto (Shoes) par ragad kar dekhiye, Joote chamakne lagenge aur bilkul naye jaise dikhayi denge.
 

9. Vaseline ko aap Make-up remover ki tarah istemal kar sakte hain. Apna Make-up saaf karne ke liye bas thoda sa Vaseline laga kar, Rooi se saaf kar le, aur chehra paani se dho le. Isse aapki tavcha naram bhi ho jayegi.
 

10. Sharir ke kisi bhaag ya nakhoon ke aas-paas ki chamadi nikalne ya khinch jane par Vaseline lagakar aap tavcha ko barabar kar sakte hain.

11. Baalo ko color karte waqt, Hair Line ke paas acchi tarah se Vaseline laga le. Isse Dye aapki tavcha par nahi lagegi aur aapki tavcha surakshit rahegi.

12. Shaving karne ke baad Vaseline ka pryog, Skin ko mulayam banane mein madad karega aur rukhapan bhi gayab ho jayega.
 

13. Agar aap nahane ka asli maza lena chahte hain, Vaseline mein thoda samundari Namak mila kar sharir par massage kare, phir halke gungune paani se naha le. Aap pahle se jyada taro-taza aur reshami narm ahsaas se bhar jayenge.
 

14. Agar Earring pahante waqt asaani se kaan ke ander nahi ja rahi hain, to preshan hone ki jaroorat nahi hain. Bas thoda sa Vaseline laga lijiye aur badi asaani ke saath Earrings pahan lijiye. 
 

15. Agar aap apne Eyeshadow aur Blusher ko powder ki tarah prayog karke bore ho gyi hain aur creamy shade chahti hain, to aapko bas itna karna hain, Ki purane Eyeshadow ya blusher mein Vaseline mila de. Lijiye ban gya Creamy shade.
 

16. Kisi Party ya function mein ja rahe hain aur daanto mein Lipstick nahi lagne dena chahti , To daanto par thoda sa vaseline laga le. Isse oon par Lipstick ka rang bhi nahi lagega aur unki chamak bhi badh jayegi. Beauty Competition mein yeh tarika ajmaya jata hain.
 

17. Aap plucker  se apni eye-brow bana rahi hain, jo jara sa Vaseline laga le. Baal theek se nikal bhi jayenge aur aapki tavcha mulayam bani rahegi, vah bhi bina dard ke.
 

18. Jab koi Purani Nail polish lagani hoti hain, to uska dhakkan kholne ke liye mehnat karni padti hain, kyonki vah jam ho jata hain. Isse bachne ke liye dhakkan mein ander ki taraf thoda Vaseline laga dijiye, agli baar dhakkan asaani se khul jayegi.
 

19. Apni Eye-brow ko shiny banane ke liye bhi aap Vaseline ka upyog kar sakti hain, Turant chamak aa jayegi.
 

20. Phati aur rukhi Aidiyo ko behtar banane ke accha option hain Vaseline. Isme Vitamin C Capsule mila kar lagane se aapki aidiyo ki darare to bhar hi jayengi , saath hi narm mulayam aur chamakdaar ho jayengi.