Baccho ko Peanut butter khilane ke fayde (Benefits of Peanut Butter For Children)
Peanut Butter Jise Hindi mein Moongfali ka makkhan kaha jata hain, Jab bhi aap ghar ka saman lane ke liye food store jate honge vaha par aapko kisi self mein Peanut Butter ki bottle rakhi milti hogi. Ho sakta hain aap usay nazar-andaaj kar dete ho ya phir yeh ho sakta hain aap usay apne baccho ke liye khareed lete ho. Bahut se logo ko Peanut butter khane ke fayde ke baare mein pata nahi hain. Peanut Butter Moongphali aur Vegetable oils se mil kar banta hain, Isme Fat hota hain lekin is tarah ka Fat sehat aur vikas ke liye labhkari hain.
Peanut Butter mein aise gun hote hain jo aapke heart ko healthy aur Dimaag ko tez banate hain. Baccho ko Peanut Butter jaroor khilana chahiye kyonki ise khane se takat badhti hain, Lekin iska sewan jyada nahi karna chahiye, varna Tummy Fat bhi ho jata hain. Kai logo ko food allergy ki problem hoti hain, Jaise agar unhe Moongphali khane se allergy hain to unhe Peanut Butter khane se bachna chahiye. Aaiye jante hain Peanut Butter khane se hone wale fayde ke baare mein :-
1) Kabz se chhutkara :- Agar aapke chhote bacche ko kabz ki samsya paida ho gyi hain to usay Peanut butter wala Sandwich khilaye. Isse usay rahat milegi.
2) Energy badhaye :- School jane wale baccho ko energy ki bahut jyada jaroorat hoti hain. Isliye subah breakfast mein baccho ko Peanut Butter khilaye.
3) Aankho ki roshini badhaye :- In dino kai bacche aankho par Chashma lagaye rahte hain. Isliye unhe Peanut butter khilaye jisse unhe protein milega aur aankho ki roshini bhi badhegi.
4) Haddiyo ko banaye majboot :- Isme bahut saara Calcium paya jata hain, Jisse baccho ki haddiya majboot hoti hain.
5) Dimaag banaye tez :- Agar aapko apne bacche ki buddhi tez banani hain to usay Peanut butter jaroor khilaye. Yeh ek super-food hain jo tez dimaag paane ke liye jaroori hain.
6) Pet ki bhookh ko badhaye :- Yeh pet ki bhookh ko badhata hain. Yeh unke liye accha hain jo bacche khana nahi khate hain.
7) Wajan badhaye ;- Kya aapka baccha underweight hain? Peanut Butter mein acche kism ka Vasa (Fat) jo sharir ka wajan badhane mein madad karta hain.
8) Poshan ;- Peanut Butter ki sabse acchi baat yeh hain ki yeh baccho mein poshan ki jaroorato ko pura karta hain. Isme bahut acchi matra mein Carbohydrate hota hain.
Ise bhi padhe :- Moongfali khane ke fayde aur nuksaan
Ise bhi padhe :- Moongfali khane ke fayde aur nuksaan
Post a Comment