Plastic Bottle mein paani peene ke nuksaan (Side-effects of Drinking Water in Plastic bottle)
Modern Lifestyle mein logo ko Plastic bottles mein paani peene ki aadat hi ho gyi hain. Train ki yatra ho ya phir jyada paani peene ki aadat ke karan Plastic ki bottle hamesha bag mein rakhi mil jati hain. Lekin dosto Plastic ki bottle mein paani peena ya rakhna health ke liye bahut hi nuksaandeh hain. Agar aap Plastic bottle mein paani peete hain, Iski wajah se aapko diabetes, Heart disease, Pregnant women aur uske bacche ko khatre ke alawa kai dusri khatranaak bimariya ho sakti hain.
Agar aap Plastic ki bottle ka use paani peene ke liye karte hain to yeh jaan lijiye ki plastic ki bottle mein kai saare nuksaandeh chemical hote hain jo garam hone par paani ke saath mil jate hain. Paani ke jariye yeh dangerous chemicals hamare body mein daakhil ho jate hain aur hame nuksaan pahuchate hain. Isliye agar aap paani peene ke liye plastic bottles ka istemal kar rahe hain to abhi se inka istemal karna band kar dijiye.
Plastic bottle mein paani peene ke nuksaan :-
1) New born baby mein ho sakta hain janm-dosh :- Bottle ko banane wala chemical bhroon mein difference paida kar sakta hain, Jisse bacche ko janm ke samay kuch dosh paida ho sakte hain. Agar aapne Paani peene ke liye plastic bottle ka upyog kiya hain to aage chalkar bacche ko Prostate cancer ya breast cancer tak ho sakta hain.
2) Na kare low quality bottle ka istemal :- Kai log paise bachane ke liye sadak kinare bik rahi sasti bottle ko khareed lete hain. Aisa na kare kyonki in bottles ko banane mein aise chemicals use hote hain jo garam hone ke baad yeh chemicals paani mein mil jate hain.
3) Brain ka kamjor hona :- Plastic ki bottle mein use hone wali Bisphenol A ki wajah se dimaag ke kaam karne ki shakti prabhavit hoti hain. Iske karan insaan ki samjhane aur yaad rakhne ki shakti kam hone lagti hain.
4) Kabz aur pet mein gas :- Darasal Plastic bottle ko banane ke liye Bisphenol A ke karan pet par bura asar padta hain. BPA naam ka chemical jab pet mein pahuchta hain tab iske karan pachan kriya prabhavit hoti hain. Isse khana acche se hajm nahi ho pata hain aur pet mein kabz aur gas ki problem ho jati hain.
5) Pet ki bimari :- Agar aapki bottle mahino se dhuli nahi hain aur aap uska baar-baar istemal kar usme paani bhar kar pee rahe hain to aapko pet ki problems ho sakti hain, Kyonki veh bacteria ka ghar ban jata hain.
6) Miscarriage ka khatra :- Veh mahilaye jinhe pregnant hone mein problems ka samna karna padta hain ya phir jinhe ek baar Miscarriage ho chuka ho, Unhe Plastic ki bottle se jyada paani nahi peena chahiye. Yeh Purusho mein Sperm count ko bhi kam karta hain.
7) Cancer hone ka khatra :- Hawaii ke Cancer Hospital ke research ke according, Plastic ke bottle ka paani cancer hone ki wajah ho sakta hain. Plastic ki bottle jab dhoop ya jyada temperature hone ke karan jab garam hota hain, to plastic mein mauzood nuksaandeh chemicals Di-oxygen ka risaav shuru ho jata hain. Yeh Dioxygen paani mein ghulkar hamare sharir mein pahuchta hain. Dy-oxygen hamare sharir ke cells ko bura asar dalta hain. Iski wajah se mahilaon mein breast cancer ka khatra badh jata hain.

Post a Comment