Header Ads

Khane ko baar-baar garam kyon nahi karna chahiye.

Food Reheat No chance manAksar hum pahle bane khane ko freshness ka ahsaas lene ke liye garm karke khate hain, Lekin yeh health ke liye nuksaandeh bhi sabit ho sakta hain. Khane ko baar-baar garam karne se uske poshak tatv khatm ho jate hain. Aaloo, Chicken, Anda aur bhi kai aise food hain, Jinhe baar-baar garm karne se unke tatvo mein chemical process hoti hain.

Inke alawa kai aise khane wale food hain, Jinhe baar baar garm karne par chemical process hone ki wajah se yeh zehreele bhi ho jate hain. Lihaza mausam koi bhi ho taza khana khana hi sabse best option hain, Jisse health acchi rahegi. Hum aapko kuch aise food ke baare mein bata rahe hain jinhe aapko baar baar garam karne se bachna chahiye, In foods ko baar-baar garam na kare, Janiye Kyon :-

Palak :- Palak ko garam karke khana khatarnaak sabit ho sakta hain. Isme Nitrate ki matra zyada hoti hain. Garm hone par yeh aise tatv mein badal jata hain jo sharir ko nuksaan pahuchata hain.

Celery :- Celery bhi Palak ki tarah hi hoti hain. Bataya jata hain ki isme bhi Nitrate hota hain, jo garm karne par zehreela ban jata hain. 

Anda (Eggs) :- Agar Ande (eggs) ko high temperature par garam kar diya jaye to veh zehar ban jata hain. Isliye rakhe huye Ubale Ando ko phir se dubara garam karke na khaye. Isse Pet kharab ho jata hain. 

Chukander :- Chukandar mein Nitrate ki matra kafi jyada hoti hain, jo sharir ke liye bahut hi accha hain. Lekin Re-heat karne par iske zehar mein tabdeel hone ki ashanka badh jati hain. 

Chicken :- Log Chicken ko garm karke khana pasand karte hain. Lekin yeh khatarnaak ho sakta hain. Kyonki Chicken mein Protein ki matra jyada hoti hain, Jo thanda karke phir dubara garm karne par Toxic mein badal sakta hain. 

Aaloo :- Aaloo sehat ke liye accha hain. Lekin agar aap ise lambe samay tak Fridge mein rakhne ke baad garam karke khayenge to iske poshak tatv zeharleele tatvo mein tabdeel ho jayenge. 

Mushroom :- Mushroom ko kabhi bhi rakha hua na khaye. Yeh bahut hi sensitive sabzi hoti hain, Jisme protein ki high quantity ka kharab hone ka darr sabse jyada hota hain.