Header Ads

Khusboo se kare mood ko fresh aur dimaag ko shant.

Khusboo se mood sahi karnaKhusboo (Fragrance) ka naam sunte hain ki sharir mein tazagi mahsoos hone lagti hain. Environment khusboo se khusnuma ho jata hain aur aapki khushi (Happiness) aapke naak ke niche chhupi hui hain. Janiye kaise khusboo aapko happiness pradan kar sakti hain aur aap khusboo se apna mood kaise theek kar sakte hain.

Peppermint :- Peppermint Oil ya Pudine ki pattiyo ke satt mein aapke mood ko accha karne aur dimaag ko dauraane ki power hoti hain. Alag-alag researches se yeh sabit ho chuka hain ki jo players Peppermint soonghte hain, unka performance accha hota hain.

Phool :- Gulab ki khusboo to aapne kai baar soonghi hogi. Chameli aur Mogre ki khusboo bhala kise nahi bhati hain? Mogra depression, anidra ko door karke dimaag ko shant karta hain, Vahi Chameli bhi mood accha karti hain. 

Baby Powder :- Yadi aapko Baby powder soonghna pasand hain to yeh jankar hairaani hogi ki yeh aapki khushi ka raaz bhi hain. Baby Powder hame safety ka ahsaas karata hain, jo hame tab mili hui hoti hain ya thi, Jab hum bacche thay. Yah hamare bachpan ki yaad dilata hain, aur bachpan ko yaad karke hame khushi milti hain. 

Rosemary :- Rosemary ko flavoring agent ke taur par jana jata hain. Yeh bhi dimaag ko durust rakhta hain. Iski khusboo soonghne ke baad aap tough se tough question ko solve karne ke liye ready ho jate hain. 

Sunscreen :- Sunscreen ko soonghne ke baad aapko beech par bitayi gyi chhuttiyo ki yaad aati hain to bhi aapka mood accha ho jata hain, Kyonki chhuttiya yaad aate hi aapko yaad aata hain vah samay jab aap bahut relax aur khush thay. 

Tazi Kati ghas :- Taji kati Ghas (Grass) se nikalne wala chemical aapko relax karta hain aur yaha tak ki aapko khushi bhi deta hain. Isliye samay-samay par lone ki kataai karte rahe.  

Khatte Phal :- Yadi aap turant apna mood accha karna chahte hain to kisi khatte phal ya Nimbu ko kaat kar soonghiye. Vitamin C se bharpoor yeh phal alertness aur energy badhate hain aur inki sugandh tension ko kam karti hain, Jisse aap kaam ke mamlo mein dusre ko asaani se impress kar lete hain.