Header Ads

Non Stick Bartan ke nuksan (Health Side Effects of Using Non-Stick Utensils)

Non-Stick health ke liye kaise nuksaandeh hain. Aksar hum healthy rahne ke liye kam oil wala khana pasand karte hain. Iske liye hum Non-Stick Bartan ka istemal karte hain, Lekin kya aap jante hain ki Non-Stick bartan ke istemal se aapke health ko nuksaan uthana pad sakta hain. Aaiye jante hain Non-Stick Utensils ke health risk kaise hote hain aur iske use karne ke hame kya side-effects ka samna karna pad sakta hain.

Non-Stick Bartan mein Khana pakane se sehat (Health) ko hote hain yeh Nuksaan :- 

Haddiyo ki bimari :- Non-Stick Bartan mein khana banane se sharir mein Iron ki kami ho jati hain. Isse haddiya kamjor ho jati hain. Lohe ya Aluminum ke bartan mein khana banane se sharir ko jyada se jyada Iron milta hain. 

Cancer ka khatra :- In bartano mein khana pakane se cancer ka khatra badh jata hain. Non-stick bartan mein khana pakane se cancer ko badhawa dene wala tatv Carcinogens hamare sharir mein daakhil hota hain, Jo breast cancer ko bhi badhawa deta hain. 

Thyroid :- Rojana Non-Stick Bartan mein khana khane se Thyroid hone ka khatra badh jata hain. Non-Stick utensils mein khana banane se perfluorinated compound (PFC) sharir mein pahuchta hain, Jo Thyroid ko badhata hain. 

Aa sakta hain Heart Attack :- Ek study ke mutabik Lohe ki bajaye Nonstick mein khana banana dil ki problems badha sakta hain. Non-Stick bartan mein khana banane se body mein High triglyceride levels badh jata hain, Jisse heart attack aa sakta hain. 

Immune system par asar :- Non-Stick bartan se nikalne wala Perfluorinated Compound sharir ke immune system ko kamjor kar deta hain. Isse sharir ko tarah-tarah ki bimariya jakad leti hain. Aise bartno mein khana banane se vyakti ke sharir mein kai aise tatv daakhil ho jate hain, Jisse kai tarah ke Cognitive hone ka khatra ho jata hain. 

Liver par asar :- Nonstick bartan aapke Liver ko kharab kar sakte hain. Non-Stick bartan mein toxic fumes nikalti hain, jo pet kharab kar deti hain. Ek study ke mutabik Nonstick bartan ko banane mein istemal hone wale Organic Compound aur Diabetes mein relation paya gya hain.

Kidney ke khatarnaak :- Janwaro par huye ek research se yeh pata chala hain ki Non-Stick bartan ka istemal aapki Kidney ko kharab kar sakta hain. 

Cholesterol badhaye :- Non-Stick Bartan ka istemal aapke cholesterol level ko  badha sakta hain. Isse accha hoga ki aap Lohe ki kadhahi aur aam bartan ka istemal kare.