Header Ads

Exam ke time baccho ki diet ka rakhe khyaal.

Exam ke dauran baccho ko kya dena chahiye.Exam ke samay baccho ko sahi diet jaroor de. Exam time mein best performance dene ke liye sirf Study hi nahi, balki sahi khan-pan bhi jaroori hain. Aaiye jante hain, Exam ke time kis tarah ka khana aapke bacche ke liye jaroori hain.

Zinc :- Bacche ke vichar karne ki shakti aur Yaddasht ko Zinc jaise mineral ke jariye badhaya ja sakta hain. Halaki hamare sharir ko iski jyada matra ki jaroorat nahi hoti hain. Ise Sea Food, Ankurit chano ke jariye paya ja sakta hain. Zinc hamare Immune system ko bhi durust rakhta hain.

Omega-3 Fatty Acid :- Exam ke time baccho ko Omega-3 Fatty Acid ki bahut jaroorat padti hain. Yeh brain ke sahi kaam karne aur focus mein madadgar hota hain. Iski madad se bacche ko jaldi se yaad ho jata hain. Oily Fish iska sabse accha source hain. Iske alawa Omega-3 Fatty Acid, Olive oil aur Sea food mein bahut hi acchi quantity mein paya jata hain.

Protein :- Protein hame lambe samay tak energy dete hain. Isliye aapka baccha agar exam de raha hain, to uski meal mein protein wala food jaroor shamil kare. Ise aap breakfast mein Eggs, Poha, Idli ya Dosa ke jariye dengi to baccha dinbhar energetic feel karega.

Iron aur Vitamin B :- Inse bacche ke sharir mein physical aur Mental Energy bani rahti hain aur study mein aaram milta hain. Iron ko anaaz, Red Meat aur Palak ke jariye asaani se paya ja sakta hain. Isme Mirch bhi shamil ki ja sakti hain. Vitamin B ke liye aap Badam, Anaaz, Genhu ke beej aur Ande khila sakti hain.

Coffee ko kahe na :- Coffee mein Caffeine ki matra kafi hoti hain, Jiski wajah se focus to banta hain, Lekin hame bhookh nahi lagti aur dheere-dheere energy level down ho jata hain.

Carbohydrates :- Carbohydrates hamari body mein fuel ki tarah kaam karte hain. Kam samay mein energy lene ke liye Carbohydrates lena sabse badhiya rahta hain, Kyonki yeh Glucose ko energy mein tabdeel karke usay dimaag tak pahuchate hain. Isse concentration banaye rakhne mein madad milti hain. Carbohydrates ko Seb, Nashpati, Jamun, Aaloo, Gajar, Salad aur Brown Bread ke jariye paya ja sakta hain.