Header Ads

Phal (Fruits) khane ke sahi tarike, jisse aapko mile jyada fayde.

Fruits photoPhal (Fruits) ko kaise khaye, Jisse hame jyada fayda mile? Fruits ko sahi tarah se khane ka tarika kya hain? Fruits ko hame kaise khana chahiye? Phalo ko kis tarah se khana chahiye jisse hame jyada fayda ho? Phal Fruits ko kaise khaye aur kab khaye taki hame jyada labh ho? Agar aapke mann mein bhi yeh saare swaal uth rahe ho to Aaj ki yeh post aapke bade hi kaam aayegi. 

Roj ek seb khayiye aur doctor ko door bhagayiye (An Apple a day keeps the doctor away), Yeh kahawat to aap sabhi ne suni hogi aur hum yeh bhi jante hain ki kewal Seb hi nahi, Balki dusre anya phal-fruits bhi bimariyo ko doctor ko door rakhne mein madad karte hain. Tarah-tarah ke poshak tatvo se bharpoor Phal sharir ko healthy banaye rakhte hain. Agar aap wajan kam karne ki koshish kar rahe hain aur apni health se koi compromise nahi karna chahte hain to Fruits aapke liye best option ho sakte hain.

Aap jankar hairaan rah jayenge ki Fruits se milne wale sabhi poshak tatvo ka benefits lene ke liye unhe sahi tarike se khana bahut hi jaroori hain. Aaiye jante hain ki kaise sahi tarike se phal kha kar unka pura labh uthaya ja sakta hain.

  • Ek bowl mein bina kate huye fruits table par ya fridge mein rakhiye. Aapko karna yeh hain ki jab bhi aapko kuch khane ko mahsoos ho, To phal khana aapke liye sabse asaan hoga, kyonki veh aapki pahuch mein honge. Is tarah se aap fast food se doori bana payenge. 
  • Kai log Phalo (Fruits) ke juice ko bahut pasand karte hain, Lekin hum aapko bata de ki Juice se phalo ka ek bada hissa barbad ho jata hain aur phalo se milne wale fiber ko hum yu hi fenk dete hain. Is tarah sharir ko healthy rakhne wale fruits ke gun ko hum kuch hud tak khud hi kam  kar dete hain. 
  •  Kaam ko aur asaan banane ke liye Freeze mein phalo ko pahle se katkar store kar le jisse turant hi khane ke liye phal ready rahenge. Halaki koshish kare ki Phal khane ke theek pahle hi kaate jaye taki phalo ka bharpoor fayda uthaya ja sake. 
  • Breakfast mein fruits ko side dish ke roop mein istemal kare. Aap jo bhi khane wale hain uske saath apne hisaab se ek ya do phal bhi shamil kare. Liquid mein Fruits ka juice ko shamil karna bhi ek samajhdari bhara kaam hain. Din aur raat ke khane ke saath aap phalo se bane anya swadisth aur paushtik pakvaan jaise Fruit Rayta ya Fruits custards ko shamil kar sakte hain. Aap chahe to Fruits Chat ko bhi kha sakte hain. 
  •  
  • Fruits ko khareedte samay khas savdhaani rakhni hogi, Jisme mausam ke anusaar phal khareede, Jaise jis season mein jo phal aate hain veh daam mein kam hone ke saath-saath swaad mein acche aur hanikarak dawaaiyo ke asar se bache huye hote hain. 
  •  Jab fresh fruits available na ho ya phir inka mushkil ho to aap Dry Fruits ka bhi istemal kar sakte hain. Inhe store karna aur saath rakhna bhi asaan hota hain. 
  •  Phalo ko apni pasand se unke poshak guno ko jyada priority de. Potassium se bharpoor phal jaise Kela, Aadoo, Blue Barrie, Khubani, Kharbooja, Tarbooz aur Santra jaise phalo ko apnaye. Lekin dyaan de ki sabhi phalo ke special power hoti hain, Isliye khud ko kuch khas phalo tak hi simit na rakhe balki sabhi phalo ki matra  ko unki poshan dene ke gun ke anusaar apni  diet ka hissa jaroor banaye. 
Baccho ke liye Phal sambandhi tips 

Baccho ke badhte sharir ke liye jaroori poshak tatv fruits se prapt kiye ja sakte hain. Aap daily fruits kha kar apne baccho ko bhi phal khane ki aadat daal sakte hain. Aap ghar mein kai tarah ke phal rakhe, jisse baccho ko apni pasand ke phal chunane ka mauka mile aur saath hi tarah-tarah ke phalo se poshak tatv prapt kar sake.

Phal khareedte samay baccho ko saath le jaye aur phalo ko saaf karte aur unhe kaatne samay baccho ki madad le. Phal khareedte samay baccho ko naye kism ke phal ghar par lane de. Baccho ke pasand ke pakvaan ki plate ko phalo se sajaye taki unke saath fruits ki bhi supply hoti rahe. Fruits ke naye designs jaise smiles face ya joker aur koi alag shape banaye jisse bacche fruits mein interest lene lage. Baccho ko chocolates ki bajaye Dry fruits khane ke liye courage kare.