Header Ads

Sahi time par Periods aane ke liye khayiye yeh cheeze.

Periods sahi aane ke liye kya khana chahiye?
Kai saari mahilaon mein periods sahi samay par na hona bilkul aam si baat ho chuki hain. Badalti lifestyle, Pollution, Smoking, Drinking, Jyada exercise aur khan-paan mein badlaav ki wajah se mahilaon mein periods mein deri ho jati hain. Jab aapke periods samay par nahi hote hain to ya to veh time se pahle aa jate hain ya phir deri se aate hain.

Is dauraan jyada ya kam bahaav aur dard sahna padta hain. Kai mahilaon ki shikayat rahti hain ki unhe samay par periods na hone ki wajah se sirf 2-3 hi din periods hote hain. Aise mein is problem se aaram paane ke liye kai aise food hain jinhe khane se aapko time par periods hone lagenge. Protein, Omega-3 Fatty Acid aur Vitamin se bharpoor diet ko khane se is samsya se nijat mila jata hain. Inka to na koi side-effects hain aur yeh nahi jyada mehnge hain.

Iske alawa ek healthy lifestyle bhi banani padegi, nahi to sirf acche khadya padartho ko khane se kuch nahi hoga.

Samay par period aane ke liye khaye yeh :- 

Hari pattedar sabziya ;- Palak, Broccoli, Baingan ko apni diet mein shamil kare, Yeh healthy hote hain aur samay par periods ko laate hain.

Salmon  Fish :- Isme calcium aur Vitamin bharpoor matra mein hota hain. Ise khane se na sirf haddiya majboot banti hain, balki yeh hormones ko bhi control mein karta hain.

Til :- Aapko Til khana chahiye, Magar ek simit matra mein kyonki yeh sharir mein garmi ko badha deta hain.

Anda :- Uble huye eggs mein protein, Calcium aur Vitamin acchi matra mein paya jata hain. Protein se bhare Ande ko khane se periods sahi samay par aate hain.

Broccoli :- Apni diet mein Broccoli ko jaroor shamil kare. Kyonki ise khane se periods sahi samay par hote hain.

Saunf :- Yadi aap subah khali pet ise khaye to sahi samay par periods honge. Ise raat bhar paani mein bhigo dijiye aur phir subah khali pet kha lijiye.

Badam :- Isme Fiber hone ke saath Hormon ko balance karne ke liye protein bhi hota hain to aap ise jaroor khaye.

Fish ya Fish oil :- Isme Omega-3 Fatty Acid hota hain jo Ovary ki khoon ki naso ko damage hone se bachata hain kyonki isse periods mein deri hoti hain.

Dahi :- Dairy products calcium aur protein mein rich hote hain, to khud ko thanda rakhne ke liye aur periods ko sahi samay par laane ke liye ise roj khayiye.

Soya Milk :- Yeh paushtik aur pet bharne wala hota hain. Yadi aap dieting kar rahi hain to bhi ise aap pee sakti hain.

Tofu :- Ab Paneer nahi balki Soya Milk se bana Tofu khana shuru kar dijiye, Kyonki yeh calcium se bhara rahta hain, Jisko khane se periods time se hota hain.

Lal ya Kale Angoor ;- Rojana ek glass Lal ya Kaale Angoor ka juice peene se aapko asamay periods se chhutkara mil sakta hain.