Acchi sehat ke liye Khali pet inhe na khaye.
Health ko behtar banane ke liye hame kai baato ka dhyaan rakhna padta hain. Acchi sehat ke liye kaun si cheez kis samay khayi jaye aur kaun si cheez kab na khayi jaye, Ise lekar khas taur par alert rahna padta hain. Kai cheeze aisi hoti hain, Jinhe subah subah khali pet khane se sharir par bura asar padta hain.
Aisa karne se aapki health par bahut bura asar padta hain. Kuch khane peene wali cheezo mein Acid ki matra bahut jyada hoti hain, Aise mein unhe khali pet khana ya peena aapko nuksaan pahucha sakta hain. Janiye aisi cheezo ke baare mein Jinhe Khali pet nahi khana chahiye.
1. Soda :- Soda mein high level carbonate acid hota hain. Khali pet soda peene se pet mein gas banti hain aur aap asahaz mahsoos kar sakte hain. Soda ki tarah aapko khali pet kisi bhi cold drinks ko peene se bachna chahiye.
2. Dahi :- Dahi health ke liye faydemand hoti hain, Lekin khali pet iska sewan karne se Pet mein marod uth sakti hain.
3. Kela :- Khali Pet kela khane se sharir mein Magnesium ki matra badh jati hain, Jiski wajah se sharir mein Calcium aur Magnesium ki matra mein unbalance paida ho jata hain. Aise mein sharir par bura asar padta hain, Isliye subah khali pet Kela nahi khana chahiye.
4. Coffee ;- Khali pet coffee ka sewan karna bhi hanikarak hota hain. Coffee mein Caffeine hoti hain, Jo khali pet lene se sharir par bura asar dalti hain. Khali pet Caffeine ka sewan pet se judi bimariyo ko paida karti hain.
5. Chai :- Coffee ki tarah khali pet chai peena bhi accha nahi hain. Chai mein high level mein acid hota hain, Jiski wajah se pet dard ho sakta hain. Halaki aap Chai ke saath kuch dusre cheeze kha sakte hain.
6. Sharab :- Vaise toh sharab peena sharir ke liye nuksaandeh hain, Lekin Khali pet pee gyi sharab zehar ki tarah hoti hain. Khali pet sharab peene se pet mein jalan hone lagti hain aur khana bhi theek tarah se nahi pachta hain. Jiski wajah se apach ki shikayat hone lagti hain.
7. Shakarkand :- Shakarkand mein Taninn aur Pectin hota hain, Jisse khali pet shakarkand khane se gastric acid ki problem ho jati hain. Gastric Acid seene mein jalan paida karta hain. Isliye khali pet shakarkand khane se bachna chahiye.
8. Tamatar :- Tamatar mein acid hota hain, Jiski wajah se ise subah-shaam khali pet nahi khana chahiye. Agar Tamatar ko khali pet kha liya jaye toh yeh pet mein react karta hain aur ek tarah ka liquid ko paida karta hain, Jisse pet mein stone ban sakte hain.
9. Masaledar khana :- Kabhi bhi khali pet kisi bhi tarah ka masaledar ya chatpata khana nahi khana chahiye. Isme natural Acid hota hain jo pet ki pachan shakti ko bigaad deta hain. Kai baar pet mein marode bhi hone lagti hain.
10. Dawaaian (Medicines) :- Aapne doctors ko salah dete huye suna hoga ki Khali pet dawaao ka sewan nahi karna chahiye. Khali pet Dawaa khane se pet mein acid ki shikayat ho jati hain, jisse sharir mein unbalance paida ho jata hain.

Post a Comment