Bakri ka doodh Gaay ke doodh se behtar kyon hain.
Aapne aakhiri baar Bakri ka doodh kab piya tha? Shayad hazaaro saal pahle. Lekin kya aap jante hain ki Bakri ke Doodh mein Gaay ke doodh ke mukable jyada paushtik aur swasthvardhak tatv hote hain. Kya aap jante hain ki Bakri ke doodh ka niyamit sewan aapko takatwar banata hain aur aapko bimariyo se ladne ki shakti deta hain.
Agar aap rojana Gaay ka doodh peete hain, Phir bhi aap kamjori mahsoos kar rahe hain toh Bakri ka doodh peena shuru kar dijiye. Aapko jankar hairaani hogi ki Bakri ka Gaay ke doodh se jyada faydemand kaise hain? Is post mein hum janenge ki Aakhir Bakri ka Doodh Gaay ke doodh se accha ya behtar kyon hota hain (Why Goat's Milk better then Cow's Milk).
1. Isse Allergy kam hoti hain :- Gaay ke doodh mein High level milk protein hota hain, Jise Casein kahte hain. Bahut se baccho ko is doodh se allergy hoti hain, Natizan Utli, Dast, Khujali aadi hone lagti hain. Is allergy se bachne ke liye Bakri ka doodh accha option hain. Bakri ke doodh mein Casein ki matra kafi kam hoti hain.
2. Hajam hone mein asaan :- Kuch logo ko Gaay ke doodh se gas aur sujan ya phulawat ki samsya hoti hain. Bakri ka doodh in pet se related problems ka ilaj hain. Aisa isliye hain kyonki Bakri ke doodh mein Fat ke tatv chhote hote hain aur Yeh Gaay ke doodh ke compare jaldi toot ya pach bhi jate hain. Iske alawa Bakri ke doodh mein mauzood Potassium ki matra Body mein Alkaline gun paida karte hain. Gaay ke doodh mein in poshak tatvo ki kami hoti hain, Jisse gas paida hoti hain.
3. Lactose Intolerance jaisi problem nahi :- Lactose ko bhi milk sugar ke roop mein jana jata hain. Is Lactose ko pachaane ke liye body mein enzyme paida hoti hain, Jise Lactase kahte hain. Jin logo mein Lactase ki kami hoti hain, Unme Lactose Intolerance jaisi problem rahti hain. Bakri ke doodh mein Lactose ki matra kam hoti hain, Jisse yeh pachaane mein asaan rahta hain.
4. Jyada poshan :- Bakri ke doodh mein Vitamin A jyada hota hain, Jise Body ke dwara asaani se sokh liya jata hain. Isme Vitamin B2 aur Riboflavin ki matra adhik hoti hain jisse Protein aur Carbohydrate jaise tatv bhi asaani se pach jate hain. Bakri ke doodh mein Protein, Calcium aur Phosphorus bhi jyada paya jata hain. Yeh Anti-Bodies ka niramaan kar sharir ke immune system ko strong banata hain. Bakri ka doodh Bio-Organic Sodium ka bhi accha source hain, Jo pachaan ki capacity ko badhane wale enzymes ko paida karta hain.
5. Iska Natural roop se ekroop hone ka gun :- Homogenized ka matlab hain ek roopta. Hum dekh sakte hain ki Gaay ke doodh mein Fat hota hain, Jisse paani jaisi parat iski stah par aa jati hain. Isko door karne ke liye Gaay ke doodh ke saath ek process karna padta hain Jise Homogenization kaha jata hain, Iske Fat ke atom khatm ho jate hain. Isse Cream banti hain aur doodh Homogeneous aur acchi tarah mila hua banta hain.
Homogenization ke nuksaan bhi hain. Isse doodh mein aur saath hi hamare sharir mein Free Radicals ikktthe hote hain. Yeh aage chalkar health se related preshaniya paida karte hain. Bakri ka doodh natural roop se Homogenized hota hain aur Iske saath kisi process ko karne ki jaroorat nahi hoti hain. Isliye Bakri ka doodh aapko Homogenization se door rakhta hain.
Kaam ki baatein :- Iske paushtik tatvo ke bawjood yeh swaad mein accha nahi hota hain. Ise aap anya roopo mein bhi le sakte hain Jaise Faita Cheese, Goat Milk Cheese, Dahi aur Goat Milk Ice-cream.
Agar aapke area mein fresh aur Organic Goat Milk nahi milta hain toh aapko preshan hone ki jaroorat nahi hain. Aap packet pack goat milk bhi le sakte hain.

Post a Comment