Fit rahne ke liye sahi diet ka confusion.
Fit rahne aur sahi wajan ko barkarar rakhne ke liye perfect diet ko choose karne mein tab confusion badh jata hain, Jab khane mein lagbhag ek se jyada option samne hote hain. Aise mein inki khubiyo aur khamiyo ko jante huye aap apni jaroorat ke hisaab se sahi option ko diet mein shamil kar sakte hain. Yaha market mein available kuch aise hi options ko compare kiya ja raha hain.
Milk Vs Soya Milk
Normal Milk aur Soya Milk, Dono hi bazaar mein easily available hain. Inhe log healthy hone ke saath sharir mein calcium ki bharpaai ke liye peete hain.
Poshan ki matra :- Soyabean ke beejo, Tel aur Paani se taiyaar Soya milk mein ordinary milk ke compare Fat, Carbohydrate aur Calorie teeno hi kam matra mein mauzood hote hain. Ise log healthy aur fit rahne ke liye istemal karte hain. Lekin ise banate waqt kafi saare nutrients aur Vitamins khatm ho jate hain.
Kya chune :- Aam doodh ke compare Soya milk utna faydemand nahi hota hain. Doctor bhi aam Doodh peene ki salah dete hain. Chhote baccho ko Soya Milk ka swaad utna pasand nahi hota, Jisse unhe baar-baar ulti ho jati hain. Calcium ki sahi matra ke liye normal doodh peena hi behtar hain.

Multi Grain Vs Whole Grain
Multi-grain ka matlab hain kai tarah ke anaazo ka mishran. Lekin yeh jaroori nahi hain ki isme shamil sabhi anaaz unke saabut roop (bhoosi samet) mein mauzood ho. Vahi Whole Grain Ya Whole Wheat ka matlab Sabut Genhu. Yani ki isme Bhoosi aadi shamil hoti hain aur yeh refined ya kai tarah ke preservative wala bhi nahi hota hain.
Poshan ki matra ;- Multi Grain Aata istemal karne se pahle yeh jaanch kar lena chahiye ki veh Whole Grain se hi bana ho, Na ki refined anaazo ke aate se. Dono mein hi Fiber hi acchi matra hoti hain.
Kya Chune :- Multi Grain ki tulna mein Whole Grain mein jyada Nutrients, Fiber aur Vitamins hote hain, Jo diabetes aur kai tarah ki cancer cells ko kam karte hain. Motapa kam karne ke liye whole grain faydemand hain.
Paneer Vs Tofu
Paneer samanya doodh se banta hain, Jabki Paneer ki tarah dikhne wala Tofu Soyabean Milk ke dahi se banaya jata hain. Dono hi protein ke acche source hain. Paneer ko ghar par asaani se banaya ja sakta hain, Jabki Tofu ko banana zara mushkil hain. Halaki yeh bazaar mein asaani se milne laga hain.
Poshan ki matra ;- 100 Gram Paneer mein kareeb 18.3 gram Protein hota hain. Vahi itne hi Tofu mein protein ki matra 6.9 Gram hoti hain. Protein ke saath-saath Paneer mein Tofu ke mukable Calorie aur Calcium bhi jyada matra mein mauzood hote hain.
Kya chune :- Agar aap Wajan kam karna chahte hain toh calories ki kam matra ki wajah se Tofu behtar option hain, Jabki Wajan badhane walo ko Paneer ka sewan karna chahiye.
Brown Vs White Rice
Aam safed chawal ke alawa bazaar mein Brown Rice bhi milta hain, Jise jyada healthy option mana jata hain. Darasal Brown Rice safed chawal ka hi refined form hain. Rang ke alawa poshan mein bhi dono Chawlo mein difference hain. Brown Rice ka ek nuksan yeh bhi hain ki yeh jaldi sad jata hain.
Poshan ki matra ;- Brown Rice mein Fiber ki jyada matra ise Safed Chawal se jyada healthy banati hain. Vahi, Safed chawal ek lambe process ke baad apna mauzood swaroop pata hain. Isliye isme mauzood saare nutrients khatm ho jate hain.
Kya Chune :- Experts Brown Rice ko jyada faydemand mante hain. Diabetes se bachne aur Wajan ko badhne se rokne ke liye ise apnaya ja sakta hain. Brown Rice Metabolic rate ko bhi badhata hain, Jo sehat ke liye accha hain.

Post a Comment