Header Ads

Chemical wali sabziyo se kaise bache.

Chemical lagi hui sabziyaAaj kal har retail store par aapko label lagi hui sabziya mil jayengi jo yeh daawaa kar rahi hongi ki is store par milne wali har sabzi chemical free hain. Par kya sach-much mein aapko yeh high quality aur chemical free vegetable dene ka bharosha deti hain? Kya aap hamesha soch mein pad jati hain ki jo sabzi aap apne family ke good health ke liye khareed rahi hain, vah kanhi unke health ke liye khatrnaak ho jaye. Isliye aaj hum aapko bata rahe hain ki chemical wali saag-sabziyo se kaise bacha jaye.

Kuch asaan tips jinke istemal se aap chemical  wali sabziyo se bach sakti hain.

► Jab bhi sabziya dhoye to unhe tub mein paani aur thode se sirke ke saath mila kar dubo de. Yeh sabziyo mein mauzood keetnashak ko acchi tarah se nikaal dega. Iske baad sabziyo ko saaf paani se dho le.

► Hamesha seasonally sabziyo ko hi khareede, Kahne ka matlab yeh hain ki Jis mausam mein jo sabziya market mein  aati hain unhi sabziyo ko khareede, Vah baasi aur chemical free hongi.

► Sabziyo ko pakaane se pahle unhe acchi tarah  se garam paani mein dho le. Ya phir uske tukde kar garam paani mein ubaal le aur phir uske baad unhe kisi saaf paani se dubara dho le, Jisse unme mauzood Keet-nashak nikal jaye. Kuch sabziya aisi bhi hoti hain jinhe chhila ja sakta hain, lekin dhyaan rakhe unhe jyada na chhile varna uske poshak tatvo mein kami aa jayegi.

► Retail store mein rakhi gyi sabziyo ko bhale hi Agriculture Department se Certificate hi kyon na diya gya ho, Par phir bhi inhe khareedne se pahle aapko inki freshness, Smell aur Color ko check kar lena chahiye.

► Sabziyo par lage organic label yeh aapko dilaasha dilayenge ki in sabziyo par kisi tarah ke chemical ka istemal nahi kiya gya hain. Lekin aapko yeh sochna chahiye ki yeh sabziyo kin-kin logo ke paas se gujarti huyi aapke paas aayi hain. Isliye yeh bahut hi jaroori hain aap inhe acchi tarah se dho le jisse Bacteria aur Virus nikal jayenge.

Vaise bhi aajkal ke jamane mein Bina chemical ki sabziyo ka mil pana bahut jyada mushkil hain, Ha agar aap bina chemical wali sabziya khana pasand karte hain toh iske liye aapko sabziya apne gardan ya khet mein khud hi ugaani padegi, Tabhi aap Bina chemical wali sabzi ka anand le sakenge. Chemical ke bina sabzi mil pana bahut mushkil bhara kaam hain.