Header Ads

Healthy Cooking Sytle tips kya hain.

Cooking Tips in Hindi
Energy bhari aur Healthy life jeene ke liye aapko apni cooking style mein thoda sa changes karna jaroori hain, Kyonki iske bina aap healthy life nahi jee sakte hain. Indian Foods ko traditional tarike se banane ki bajaye aise tarike apnaye jinse unka taste bhi barkarar rahe aur Tel, ghee ka istemal bhi kam ho. Gravy taiyaar karte huye Pyaaz, Moongfali ke daane ya phir Nariyal ka istemal karne ke bajaye bhune huye Besan ka istemal kare, Kyonki Nariyal vagaira mein Saturated Fat jyada  hota hain.

Agar sookhi sabzi khani ho toh Tadka dene ke baad sirf aadha cup paani daalkar Sabzi ko cooker mein daal kar ek Siti laga le. Iske alawa ek aur tip hum aapko batate hain, Veh yeh ki sabziya jyadatar gravy wali hi banaye, taki tel kam istemal ho aur poshak tatv bhi bane rahe. Isi tarah se bahut saare tips hain, Jinhe apna kar aap healthy tarike se cooking kar sakti hain. Aaiye jante hain Healthy Cooking Style Tips ke baare mein.

Bhigoya hua khaye :- Daal ko banane se pahle usay ek raat paani mein bhigo kar rakhe, Jisse pakaate samay jyada time na lage. Isse Daalo ka poshak tatv bekar nahi jayega.

Pressure Cooker mein dhak kar banaye :- Aap bhojan ko kis prakar se banate hain, Veh bhi paushtikta ko samaye rakhne mein madadgar hota hain. Agar aap Pan ya Cooker mein khana pakati hain to dhakkan laga kar pakaye, Jisse aapko paushtik aahaar mil sake.

Tazi (Fresh) cheezo ka istemal kare ;- Hafte bhar pahle samaan na lakar cooking kare, Jab aapko jaroorat ho toh sabhi bazaar jakar phal aur sabziya khareed kar laye. Tazi (Fresh) sabziyo mein jyada paushtik tatv paye jate hain.

Chhilka bhi khaye ;- Phal aur sabziyo ko unke chhilko ke saath khana paushtikta se bhara hua hota hain. Chhilko mein bhari matra mein paushtik tatv aur Fiber paye jate hain.

Fat Free aur Paushtik banaye :- Aap jo bhi khate hain, Usse aapki sehat banti hain, isliye apni diet mein Fat free aur paushtik khana jode. Wajan ko maintain rakhne ke liye aapko rojana healthy meal leni chahiye. Aap jo kuch bhi pakaaye, Usme Fiber, Vitamins aur Minerals hone chahiye.

Tel ki sahi matra :- Aap jitna bhi tel khate hain, veh sab aapke sharir ko lagta hain. Isliye agar aap tel ki matra ko kam kar denge to aap apne aap hi kam calorie khane lagenge aur aapko Motapa, Cholesterol, Stroke, Heart attack aur High BP ki samsya nahi hogi.

Bacha hua :- Soup banate huye bachi hui sabziya, Curry ya stock ko sambhaal kar dubara istemal karna ek art hota hain. Aisa kar na sirf aap khane ki barbadi ko rokti hain, balki poshak tatvo ko dubara se grahan karti hain.