Header Ads

Nange pair chalne ke fayde (Benefits of Barefoot Walking)

 Barefoot walking karne ke labhAapko toh pata hi hoga ki paidal chalna sehat ke liye kitna faydemand hota hain, Iske liye aap morning walk par jate hain ya phir treadmill par running karte hain. Lekin is morning walk ya treadmill par running karte huye aap apne pairo mein shoes pahante hain, Lekin aapko kya yeh yaad hain ki aapne nange pair (Barefoot) kab morning walk ki thi? Kya aap jante hain ki healthy rahne ke liye nange paanv chalna, Shoes pahan kar chalne se jyada faydemand hota hain.

Ji haan aap chahe walking ke liye shoes ya chappal ka istemal karte ho, Lekin kya aapko maaloom hain ki Nange pair chalna aapki health ke liye behad faydemand hain. Purane zamane mein log shoes pahne bina hi paidal chalte thay, Lekin waqt ke saath-saath shoes aur chappal pahanna aam ho gya. Darasal gandagi ya chot ki chapet mein aane se bachne ke liye jutey-chappalo ka istemal kiya jane laga, Lekin agar aap kisi hare-bhare ghaas ke maidan mein ya saaf zameen par hain to vaha par aap nange paanv paidal walk kar sakte hain. Aaiye jante hain nange paanv (pair) ya Barefoot walking karne se kya fayde hote hain.

► Nange paanv chalna ek tarah se nature ke saath khud ke aur kareeb aane jaisa hain. Iske jariye aap khud ke prati adhik alert rahenge.

► Nange pair walking karne se aapke panjo ka nichla hissa dharti ke direct touch mein aata hain, Jisse Acupressure ke jariye sabhi hisso ki exercise hoti hain aur kai tarah ki bimariyo se nijat milti hain.

► Barefoot walk karne se veh saare muscles active ho jati hain, Jinka upyog jootey-chappal pahanane ke dauran nahi hota. Matlab aapke pairo ke alawa usse jude sabhi body parts active ho jate hain.

► Nange paanv chalne se sharir mein natural energy bani rahti hain, Jisse sharir ke part jyada active, sudol aur upyogi ban jate hain.

► Nange paanv chalne se energy level badhne ke saath hi, Tension, Hypertension, Joint Pain, Neend na aana, Heart se related bimariya, Arthritis, Asthma, Osteoporosis problems bhi khatm ho jati hain aur immune system majboot banta hain.

► Sabse jyada fayda yeh hota hain ki din bhar aap apne pairo ko shoes ya chapplo se pack karke rakhte hain, Aise mein nange pair khuli hawa mein rahne se pairo ko bharpoor oxygen milti hain, blood circulation behtar hota hain, Jisse unki thakaan door hoti hain aur dard khatm ho jata hain.

► Din bhar jute-chappal pahal kar aap chalne mein jaroor balance banaye rakhte hain, Lekin nange pair chalna aapke sharir ki sabhi indriyo ke santulan ki prakritik chetna ko barkarar rakhne mein madad karta hain.

►Naturally Earth ki Energy aapke pure sharir mein circulate hoti hain, Jo aapke health ke liye behad faydemand hain.