Header Ads

Sarso ka tel hain guno ka khazana.

Sarso ke tel ke faydeSarso ke  tel (Mustard oil) ke bahut hi jyada fayde hain. Sarso ka tel na sirf khane mein swaad badhata hain, Balki yeh health ke liye bhi bahut faydemand hain. Mustard Oil ke benefits itne jyada hain ki aapko jankar hairaani hogi aur aap ise apne khane mein jaroor istemal karna shuru kar denge. Sarso ka tel khane aur lagane dono mein hi faydemand hain. Sarso ka tel sharir ke liye upyogi aur Ramban mana jata hain. Sarso ka tel agar aap sahi tarike se istemal karte hain toh aapko kisi aur dawaai ki jaroorat nahi hogi, Kyonki sarso ke tel mein pain killer gun hota hain.

Jaise kaan dard sataye toh 2 boond gunguna sarso ka tel kaan mein tapkaye, chahe toh isme aap 2-4 kaliya lahsun ki bhi mila sakte hain. Yadi gathiya preshan kare toh sarso ke tel mein kapoor mila kar malish karne se turant aaram milta hain. Yadi kamar dard ho toh Sarso ke tel mein thodi Hing, Ajwain aur Lahsun mila kar garam kar le aur usay kamar par lagayiye, Pindliyo ka dard ho toh Sarso ke tel ko gunguna karke malish karna chahiye. Sarso ka tel dil ko chust-durust rakhta hain. Aaj hum aapko Skin, Baal aur health se jude sarso ke tel ke fayde ke baare mein bata rahe hain.

Sarso ke tel ke fayde :- 

1. Natural Sunscreen ke roop mein :- Sarso ke tel mein Vitamin ki matra jyada hone ke karan yeh chehre par natural Sunsreen ka kaam karta hain. Halka tel aur Vitamin E hone ki wajah se bahari dhoop aur Ultra violet rays aur pollution se bachata hain. Vitamin E aging aur jhurriyo ko kam karta hain.

2. Jhadte baal aur scalp ke liye :- Sarso ke tel mein kafi Vitamin hote hain jo aapke jhadte baal, Ganjepan jaisi samsyaon ke saath do-moohe aur rookhe baalo ke liye bhi faydemand hota hain. Scalp mein infection hone par fungal growth ko rokta hain aur hydrate rakhta hain. Sarso ka tel lagane ka sabse accha tarika hain ki Sarso, Badam, Nariyal, Olive aadi ke tel ko ek saath mila kar seer mein 15 se 20 minutes tak halke haatho se massage kare. Uske baad 2-3 ghanto ke baad seer ko dho le. Isse baal healthy, lambe aur mulayam rahenge.

3. Cancer ki roktham ke liye :- Sarso ke tel mein glucosinolates hota hain, jo cancer virodhi gun hone ki wajah se cancer tumor (gaanth) se bachata hain. Sarso ke tel mein adhik labhkari gun hone se yeh cancer se bachaane mein hamari madad karta hain.

4. Skin ko light karna :- Sarso ke tel mein Nariyal ke tel ko mila kar face ki 5 se 6 minutes circle chehre ki massage kare. Massage karne ke baad wipe se ya gili rooi se chehre ko saaf kare. Is massage se chehre ka blood circulation badhta hain aur skin ka color bhi light hota hain. Jisse aapka chehra nikhar jayega.

5. Sardi aur Khansi ke liye :- Yeh oon logo ke liye faydemand hain jinhe aksar Khansi ya gale mein bulgum ki samsya rahti hain. Iske liye aap ek chammach Sarso ke tel mein Kapoor mix karke chhaati par lagaye. Saath hi, Jaldi aaram ke liye tel ki steam le sakte hain. Iske liye thodi matra mein Sarso ka tel aur usme Jeera daalkar ubaale aur usse steam le. Is strong aroma Sarso ke tel se aapki saans ki nali khul jayegi aur khansi ya cold se banane wali bulgum khatm ho jayegi.

6. Wajan kam karne ke liye :- Sarso ke beej mein B Complex Vitamin jaise Folate, Thiamine, Niacin, Riboflavin hota hain. Sarso ka tel hamari body ke metabolism ko badhata hain, Jisse wajan kam karne mein asaani hoti hain.

7. Anti-Aging hona :- Sarso mein Zeaxanthin & Lutein , Carotene, Vitamin A, C aur K ki bharpoor matra hoti hain. In sabhi Vitamin hone ke wajah se yeh Anti-oxidants bhi hain jo badhti umar mein hone wale nishaan, jhurriya aur wrinkles ko door karne mein madad karta hain.

8. Baalo ke natural color ke liye :- Jin logo ke baal bhoore rang ke hote hain, Unhe sarso ka tel lagana chahiye. Isse baalo ka rang kala ho jayega. Raat ko sone se pahle sarso ka tel lagane se kuch hi dino mein aapke baal kale hone lagenge. 

9. Asthma ko control karne ke liye :- Sarso ke beej mein Selenium aur Magnesium adhik matra mein paya jata hain. In dono mein Anti-Inflammatory hota hain. Sarso ka tel rojana khane se Asthma, Sardi aur breast mein hone wali dikkato mein fayda milta hain.   

10. Baalo ke growth ke liye :- Sarso ke tel se seer ki massage karne se baalo ki growth toh hoti hi hain, saath hi blood circulation bhi badhta hain. Sarso ke tel mein Vitamins aur Minerals hote hain jisse baalo ko poshan milta hain. Sarso ke tel mein Beta-Carotene ki matra jyada hoti hain, Jo vitamin mein convert hota hain aur baalo ki growth ko badhata hain. Sarso ke tel mein Iron, Fatty Acid, Calcium aur Magnesium jaise gun hote hain jo baalo ke liye bahut hi faydemand hain. 

11. Malaria se bachne ke liye ;- Maccharo se bachne ke liye raat ko sone se pahle sarso ka tel sharir par lagaye. Isse macchar nahi kaatenge , Khas karke malaria hone ka khatra nahi rahega. 

12. Bhookh ko badhana :- Ek acche health ki pahchan tabhi hoti hain jab aapko khul kar bhookh lagti hain. Isse aapka swasth bhi accha hona chahiye. Iske liye sarso ka tel best hain. Sarso ka tel pet mein Gastric Juice ki tarah hamare appetizer ke roop mein kaam karta hain, Jisse bhookh badhne lagti hain. Isliye aaj se hi khane mein Sarso ke tel ka istemal karna shuru kar dijiye. 

13. Rashes (Funsi) aur Infection ko kam karna :- Sarso ka tel Anti-Bacterial aur Anti-Fungal hone ki wajah se rashes aur skin se judi infections ke liye bahut hi faydemand hain. Yadi aap rojana khane mein ya chehre par sarso ka tel use karte hain to skin mein hone wali dryness, dullness aur jalan khatm ho jati hain. Sarso ke tel se body ko massage karne se chamak aur skin saaf ho jati hain. Sharir mein massage karne se blood circulation aur infection ke liye yeh kafi faydemand hain. 

14. Tan Skin aur Dark spot ko kam karna ;- Sarso ke tel se garmiyo mein hone wali Skin Tan aur Aankho ke neeche padne wale dark circle ko kam karne mein madad milti hain. Iske liye aap Sarso ke tel mein Besan, Dahi aur kuch boonde Nimbu ki daal kar acchi tarah se mila kar chehre par lagaye. Face mask ko 15 se 20 minutes chehre par laga rahne de, Uske baad thande paani se chehre ko dho le. Is mask ko hafte mein 2 ya 3 baar lagaye. Jisse Tan Skin aur Dark spot ko kam karne mein yeh madad karta hain.  

15. Dard se aaram :- Dard se rahat paane ke liye Sarso ke tel ko Daadi maa ka nuskha kahna galat na hoga. Khas-taur par jodo ke dard aur gathiya ke upchar mein iski malish ka bahut hi jyada mahatv mana jata hain. Vahi sarso ke tel ko gunguna karke iski massage karne se maanspeshiyo mein jakdan bhi khool jati hain. 

16. Infection rodhi :- Sarso ke tel ke sewan se sharir ko bacterial infection se ladne mein asaani hoti hain. Khas-taur par pachan kriya aur urinary track mein hone wale bacterial infection se ladne mein iska sewan faydemand hain. Vahi, isme Anti-fungal gun bhi hote hain jo skin se related infection se ladne mein sahayak hain. 

17. Healthy Dil ke liye ;- Sarso ke tel mein bharpoor matra mein Monounsaturated aur Polyunsaturated Fats hote hain, Jo sharir mein Cholesterol ka balance banaye rakhte hain aur Bad cholesterol ko kam karte hain. Isse motape, hypertension, Blood pressure sambandhit samsyaon ka khatra kam ho jata hain. 

18. Thand se bachaav ;- Sarso ka tel sardiyo ke mausam mein isliye bhi jaroori hain kyonki yeh sharir ko thand lagne se bachaata hain. Khas-taur par sinusitis ke mareezo ke liye iska sewan karna kafi faydemand hain. Iske alawa Cough, Cold ya saans se sambandhi samsyaon ke upchar mein iska sewan faydemand hain. 

19. Daant dard mein :- Daant dard ya masoodho mein problem hone par Sarso ke tel mein Shahad aur mila kar daanto aur masoodho mein massage karne se daant aur masoodho ke rog door ho jate hain aur daant bhi majboot bante hain. Daant mein dard ya keeda lagne par Sarso aur Namak ko mila kar manjan karne se bhi fayda hota hain.

20. Daanto se khoon aane par :- Sarso ke tel mein Sendha Namak mila kar subah-shaam daanto par malne se daanto se khoon aana, masoodho ki sujan, daanto ke dard mein aaram pahuchta hain, Saath hi daant majboot aur chamakeele bhi bante hain.