Header Ads

Apne mehange gadgets ko is tarah rakhe clean.

Apne mehange  gadgets ko is tarah rakhe clean. Hum apne Smartphone, Laptop aur computes ka istemal daily karte hain. Inke use ke bina aisa lagta hain jaise hamari life adhuri si hain. Jyada istemal ke chalte inka ganda ho jana aam si baat hain. Agar gadgets par dhool, mitti jamti chali jaye toh mehanga pad sakta hain. Kyonki jitni jyada dhool-miiti jamegi, utna hi bura asar device par padega. Isliye bahut hi jaroori hain ki inki safaai par khas khyaal rakha jaye. 

Image Sensor ko saaf rakhna jaroori :- Ek DSLR camera ka important part hota hain uska image sensor , jo ki good pictures ke liye jimmevaar hota hain. Isme agar halki si bhi dhoo ho toh usse final image kharab ho sakti hain. Isliye camera blower ka istemal karna chahiye.

Screen Wipes :- Gharo mein kai tarah ki screen payi jati hain jaise ki TV Screen, Computer Screen, Laptop aur phone aadi. In screen par kafi jaldi dust jama ho jati hain, Jiske liye inhe saaf karna behad jaroori hota hain. Yeh screen wipes is kaam ke liye ekdum sahi hain, yeh 500 rupaye tak aati hain. Isme kareeb 200 wipes hoti hain.

CYBER Clean :- Yeh Cyber Clean corner aadi ki safaai ke liye behad kargar hain. Isse 99.9% germs bhi maare jate hain.

Lens ka rakhe khas khyaal ;- Yeh kafi handy tool hain jo ki har cameraman ke paas hona hi chahiye. Isse camera ki lens ko saaf kiya ja sakta hain.

Touch screen hain naajuk :- In dino smartphone se lekar computer aur TV bhi touch screen wale ho gye hain. Aise mein inka aur bhi jyada dhyaan rakhna hota hain. Inko kewal dhool hi nahi, balki fingerprints bhi nuksaan pahucha sakte hain. In screen par har tarah ke kapde se safaai nahi ki ja sakti. Iske liye aapko Microfiber kapde ka istemal karna chaiye. Is kit ko khareedne mein aapko 150 Rupaye tak kharch hoga.

Device ke ander jami dhool saaf kare ;- Computer, Laptop device puri tarah se dhake huye hote hain, Lekin phir bhi inke ander dhool jam jati hain. Aise mein air blower kafi madad karta hain.