Ek chhink kar sakti hain aapko bimaar, Chhink ko door bhagane ke gharelu nuskhe.
Vaise toh chhink aana aam baat hain, lekin lambe samay tak chhink aana kisi bimari ka lakshan bhi ho sakta hain, aise mein doctor ke paas jana hi behtar hain. Chhink ke kai karan ho sakte hain jinme shamil hain allergy, dhooaan, dhool, janwaro ki gandh, bhojan ki allergy, kuch dawayein, baarish ka paani, thanda mausam, tez mahak, name aur taapman mein badlav. Chhink se kuch problems bhi aati hain jaise concentration ki kami, lal aankhe, naak bahna, naak mein khujlahat. Chhink bukhaar aur seerdard ka bhi karan ban sakta hain.
Research ke anusaar ek chhink mein 40,000 suksham boonde hoti hain. Inme se kuch boonde sharir se 160 kilometre ki speed se bahar nikalti hain. Inme itna infection hota hain ki yeh aasaani se bimari phaila sakti hain.
Chhink yani ki sneeze centre, brain ke nichle hisse brainstem mein hota hain. Isme chot lagne ya gadbad hone se is par asar padta hain aur chhink lagatar aane lagti hain. Janwaro mein sabse jyada chhinkne wala Iguana Chhipkali hain jo chhink kar apne sharir se gandagi ko bahar nikalti hain.
Chhink ke bare mein khas baatein :-
Bimari :- kitani saari bimariya mahaz ek chhink ki wajah se phailti hain. Jab koi bimar vyakti mooh par haath rakhe bina chhinkta hain toh aaspaas ke logo ko bhi infection phail sakta hain. Bheed-bhaad wali jagaho par chhinkne se ek saath kitne logo ko bimar kiya ja sakta hain.
Khatra :- Dhool, dhooyein aur thand ke mausam mein jyadatar logo ko chhinkte huye dekha ja sakta hain. Yeh ek tarah ki allergy hoti hain, jiske liye doctor ki salah lena jaroori hain. Iske saath hi ghar ki saaf-safaai ka bhi pura dhyaan rakhna chahiye.
Chhink door bhagane ke gharelu nuskhe aur tarike :-
Adrak :- Khane ka jayka badhane ke saath hi Adrak mein kai saari bimariyo ka ilaj chhupa hua hain. Adrak ke tukade ko ubalte huye paani mein dale. Is paani mein kuch boonde shahad ki milaye aur sone se pahle ise piye. Isse raat mein aani wali chhink se aapko rahat milegi.
Camomile Tea :- Chai sardi, jukaam bhagane se saath hi chhink mein bhi aaram deta hain. Camomile tea mein Anti-Histamine mauzood hota hain. Ubalte paani mein Camomile ke sookhe phool ko mila kar, ek chammach shahad milaye. Din mein 2 se 3 baar piye.
Pudina Tel :- 2 cup paani ko ubaale aur usme 5 se 6 boond peppermint ke tel ki milaye. Apne seer ko kambal aadi se dhak kar bhaamp le. Yeh chhink se aaram dilane ke saath hi band naak ko bhi khol dega.
Methi :- 2 chammach methi ko paani ke saath ubale. Is mishran se paani ko nikaal kar piye. Jab tak fayda na ho, din mein 2 se 3 baar iska istemal kare. Isme mauzood Anti-bacterial tatv chhink se rahat dilane mein madad karta hain.
Kali Mirch :- Kali mirch ko pees kar gungune paani ke saath din mein 2 ya 3 baar piye ya kali mirch ko doodh mein mila kar sone jane se pahle piye ya is paani ka garara kare.
Post a Comment