Bargad ke ped ke fayde (Benefits of Banyan Tree in Hindi).
Kya aapko pata hain ki Bharat ka rashtriya ped kaun sa hain? Jee haan Bargad ka ped Bharat ka rashtriya Ped hain (Banyan Tree is national tree of India). Sach mein Bargad ka ped bahut hi kamaal ka hain. Bargad ke ped se hamari dharmik bhavanayein judi huyi hain, chahe Bargad ke ped ki puja ki jati ho lekin ise pujna wakai mein sahi hain. Kyonki iski pattiyo se lekar iske danthal, Unse nikalne wala doodh aur iska phal sabhi hi guno se bharpoor hain, Jinhe kai saari bimariyo ke ilaj ke liye istemal kiya jata hain. Aaiye jante hain Bargad ke ped ke gharelu nuskhe aur fayde :- (Benefits of Banyan Tree in Hindi, Banyan Tree home remedies & usage) :-
Naak se khoon nikalna band kare :- Bargad ke ped ki chhal ko chhachh ke saath mix karke iska powder bana le. Naak se khoon nikalne ki samsya bahut jald door hoti hain.
Aankho ki sujan door kare :- Bargad se nikale doodh ko lagbhag 125 miligram Kapoor aur 2 chammach shahad ke saath mix kare. Aankho par ise lagaye. Sujan ko door karne ka yeh kargar formula hain.
Baalo ki problem door kare :- Bargad ki pattiyo ko jala kar iski raakh mein 2-3 chammach Alsi ka tel milaye aur isse seer ki maalish kare. Isse girate baalo ki samsya door hoti hain.
Iske komal patto ko sarso ke tel ke saath milaye aur ise thodi der tak garam kare. Gunguna hone par ise baalo par lagaye.
Iske alawa iski chhal aur Til ke beejo ko ek saath mila kar iska powder banaye. 30 minutes baalo mein lagaye. Phir seer ko paani se dho le, dhulne ke baad nariyal ka tel lagaye, isse baalo ki growth bahut hi acchi hoti hain.
Jalan se rahat :- Bargad ki tazi pattiyo ko Dahi ke saath pees kar paste banaye aur ise jalan wali jagah par lagaye. Bahut jald rahat milegi.
Kaan ke problem hone par :- Bargad se nikalne wale doodh aur sarso ke tel ko mix kare. Kaan mein iski 2-2 boonde daale. Kaan ka dard door hone ke saath hi kai tarah ke infection hone ki sambhavna bhi kam ho jati hain.
Diabetes mein bargad ka prayog :- Bargad ki chhal ko acche se pees le. Iski lagbhag 20 gram matra paani mein daal kar ubaal le. Thanda hone ke baad din mein 2 baar ise piye. Lagatar ek mahine tak iska istemal karne se fayda milta hain.
Chehre ki rangat nikhaarne ke liye :- 6-7 Bargad ki pattiyo ko Masoor ki daal ke saath pees le. Chehre aur haath-pair ki baaki jagah par acche tarah se lagaye. Har tarah ki skin problems se chhutkara milta hain.
Bargad ki Peeli pattiy ko , Jasmine ki pattiyo aur Chandan Powder ko ek saath mix karke inka paste bana le. Is paste ko chehre par lagane se daag-dhabbe door hote hain.
Bargad ki pattiyo aur phool ko ek saath peeskar usme Kesar mila kar chehre par lagane se chehre ki rangat nikharti hain.
Mooh ke chhale hone par :- Banyan tree ki komal pattiyo ko paani ke saath ubaale. Utni hi matra mein isme Til ka tel milaye aur acche se pakaye. Din mein 2-3 baar ise chhalo par lagaye. Bahut jaldi chhale theek ho jate hain.
Daanto ke dard se rahat :- Bargad ke ped ki chhal ko katthe aur kali mirch ke saath mix karke iska powder bana le. Is powder ko toothpaste ki jagah istemal kare. Daanto ke dard se bahut jaldi rahat milegi.
Vaise iska doodh bhi cotton ball ki madad se dard wali jagah par lagana faydemand hota hain. Kisi bhi tarah ki infection ki sambhavna nahi rahti hain.
Ulti nahi aati :- Bargad ki pattiyo ko 6-7 Laung aur Paani daal kar acche se pees le aur phir ise piye. Ulti mein jald aaram milega.
Urine ki problems mein aaram :- Bargad ke phalo ko pees kar iska powder bana le. Din mein 2 baar is powder ko doodh ke saath le. Urine se related kai tarah ki samsyaon ko door karta hain.
Post a Comment