Header Ads

Bathua saag ke 10 anmol fayde.

Bathua saag ke 10 anmol fayde.

Hari pattedaar aur paushtik sabziyo mein Bathua ka naam shumar hain. Bathua saag sachmuch mein guno ka khazana hain, Ise khane se aapke anek taraf ke fayde hote hain. Yeh na kewal swaad ke lihaaz se balki sehat ke liye bhi bahut hi faydemand mana jata hain. Bathuye mein mauzood poshak tatv aapko kai saari bimariyo se nijaat dilane mein madad karte hi hain, saath hi sharir ko poshan bhi dete hain. Yakin nahi hota hain toh jaroor janiye Bathua ke 10 bahumulya fayde aur guno ke bare mein ;-

1. Bathuye ka ras aur iska ubla hua paani peene se pet ki har bimari theek ho sakti hain. Isse ykrit, tilli, ajirn, gas, krimi, pet mein dard, bawaseer jaisi samsyaon mein bhi labh milta hain.

2. Fode, Funsi, Sujan hone par bathuye ko kootkar saunth aur namak milaye aur geele kapde mein baandh kar geeli mitti laga kar aag par senke. Sikne par garm-garm baandhe. Foda baith jayega ya pak kar jaldi phoot jayega.

3. Mooh ki bimariya jaise mooh ka ulcer, saanso ki badboo, daanto ki problems hone par bathuye ki pattiyo ko chabana faydemand ho sakta hain. Isse payriya mein bhi fayda hota hain.

4. Gurde ki dusri bimariyo ke alawa peshab ke rogo mein bathua ka saag bahut hi labhkari hain. Peshab na aane ki situation mein bathuye ka saag khana bahut hi faydemand hota hain. Iske alawa aadha kilo bathua, 3 glass paani mein ubaal kar ise chhan kar nimbu, zeera, kali mirch aur sendha namak mila kar peene se labh hota hain.

5. Khoon saaf karne ke liye bathua khana faydemand hota hain. Yeh ek accha blood purifier ka kaam karta hain. Iske alawa yeh pachan tantra ko sahi tarike se kaam karne ke liye prerit karta hain. 6. Pet mein kide ho jane par kacche bathuye ka ras ek cup mein swaadanusaar namak mila kar peene se pet ke keedhe mar jate hain. Bathuye ke beej ek chammach peese huye shahad mein mila kar chatne se bhi keede mar jate hain aur raktpeeth theek ho jata hain.

7. Bathua ki sabzi rojana khane se gurde ki patthari mein labh hota hain. Is sabzi ka istemal karke aap apne amashya ko majboot kar sehatmand banaye rakh sakte hain.

8. Agar aapko kabz ki shikayat ho toh Bathua khane se yeh door ho jata hain. Kuch hafte tak rojana bathua saag khane se kabz puri tarah se door ho jata hain. Saath hi sharir mein takat aati hain aur chusti bani rahti hain.

9. Mahilaon ke period ki problem hone ya periods na aane par 2 chammach bathuye ke beej 1 glass paani mein ubaale. Aadha rahne par isse chhan kar piye. Isse maasik dharm khool kar aata hain.

10. Safed daag, khujali , fode, kusht aadi chamadi ke rogo mein rojana bathua ubaal kar , iska ras peene aur iski sabzi khane se fayda hota hain. Bathuye ke ubale huye paani se tavcha ko dhone aur bathuye ke patte ko nichodkar ras til ke tel ke saath garam karke skin par lagane se aaram hota hain.