Header Ads

Karela Juice peene ke fayde (Benefits of Bittergourd Juice in Hindi).

Karela juice peene ke fayde (benefits of bittergourd juice).

Bitter Gourd yani ki Karela apne medical guno ki wajah se ek dawa ke taur par kaam karta hain. Halaki yeh taste mein kadwa hota hain aur hamari zubaan ko bilkul bhi pasand nahi aata hain, lekin rojana ek glass karele ka juice peene se aapko bahut saare fayde hote hain. Kya aap janana chahte hain ki Karela Juice (Bitter  Gourd Juice) peene se kya-kya fayde hote hain, toh yeh post jaroor padhe.

Kacche karele ka juice bahut hi faydemand hain kyonki sabhi jaroori Vitamins, Minerals aur Antioxidants isme mauzood hote hain jo hamare sharir ke liye bahut hi jaroori hain. Hum aapko bata rahe hain aisi wajahe inse aapko Karela juice rojana subah jaroor peena chahiye.

Karela Juice Peene ke fayde (Benefits  of Drinking Bitter Gourd Juice in Hindi) :-

Pachan shakti badhata hain :- Karele ka juice kamjor pachan shakti ko sudhaarta hain aur apach ko door karta hain. Aisa isliye hota hain kyonki yeh acid ke bahaav ko badhaata  hain, jisse pachan shakti badhti hain. Isliye acchi pachan shakti ke liye hafte mein ek baar karele ka juice jaroor piye. 

Blood ko saaf karta hain :- Bitter Gourd Juice body mein ek natural blood purifier ka kaam karta hain. Yeh zehareele tatvo ko bahar nikaalta hain aur free radicals se huye nuksaan se bachata hain. Isliye blood ko saaf karne aur moohase jaisi problems se bachne ke liye roj ek glass karele ka juice jaroor  peena chahiye. 

Pancreas ke cancer ke ilaj ke liye faydemand :- Rojana ek glass karela juice peene  se Pancreas mein cancer  paida karne  wale cells khatm ho jate hain. Aisa isliye hota hain kyonki karele mein mauzood Anti-Cancer Components pancreas mein cancer paida karne wale  cells mein glucose ka pachan rok dete hain, jisse in cells ki shakti khatm ho jati hain aur yeh khatm ho jate  hain. 

Blood Sugar level ko kam karta hain :- Apne sugar level ko control karne ke liye aap 3 din  tak  khali pet  subah karele  ka juice pee sakte hain. Yeh insulin ko kaam mein lekar diabetes mein sugar level ko kam karta hain. 

Aankho ki roshini badhaata hain :- Lagatar karele ka juice peene se  aap kai tarah ki aankho ki bimari ko door  kar sakte hain. Karele  mein Beta-Carotene aur Vitamin A ki matra jyada hoti hain, Jisse aankho ke rog door ho jate hain. Iske alawa isme mauzood Vitamin C aur Anti-Oxidants Oxidative stress se hone wali nazaro ki kamjori se bachata hain. 

Bhookh badhata hain :- Bhookh nahi lagne par sharir ko pura poshan nahi mil pata hain, jisse health se related problems paida ho jati hain. Isliye Karela juice  daily peena chahiye, jisse pachan kriya sahi rahti hain aur isse  bhookh badhti hain. 

Liver se  zehareele  tatvo ko bahar nikaale  :- Rojana ek glass Karele ka juice peene se liver majboot hota hain, kyonki yeh piliya jaisi bimari  ko door  rakhta hain. Saath hi yeh  liver se  zehareele  tatvo ko bahar nikaalta hain aur poshan pradan karta hain, jisse  liver sahi dhang se kaam karta hain aur liver ki bimariya door rahti hain. 

Psoriasis ke lakshano ko door karta hain :- Ek cup karele ke juice mein ek chammach nimbu ka juice  mila le, aur  is mishran ko khali pet piye. 3 se 6 mahine tak iska sewan karne se psoriasis ke lakshan door hote hain. Yeh aapki rog-pratirodhak kshamta ko bhi badhata hain aur Psoriasis ko natural tarike se theek karne  mein madad karta hain. 

Toh dosto aaj aapne jana karela Juice peene  ke fayde (Benefits of  Drinking  Bitter Gourd Juice in Hindi), Karele  ka juice hame kyon peena chahiye is swaal ka jawaab aapko mil hi gya hoga.