Methi ka saag hain guno ka khazana.
Methi ka saag khane ke fayde (Benefits of Fenugreek Leaves in Hindi), Methi ke patte ke fayde aur labh aur methi ke gharelu upay aur nuskhe aadi janne ke liye yeh post jaroor padhe.
Methi ke beej ho ya iske patte dono hi pet se judi problems ko door karne mein kargar hain. Yaha tak ki kai tarah ki dawaaiyo ko banane mein bhi inka istemal kiya jata hain. Sirf digestion ke liye hi nahi, Balki methi khana Skin aur baalo ke liye bhi accha hota hain. Lekin pregnancy mein ise khana khatarnaak ho sakta hain.
Aaiye jante hain Methi ka Saag (Patte) khane ke fayde aur uske gharelu nuskhe aur upay jinhe jyadatar log nahi jante hain.
Digestion banaye strong :- Methi ke beej ya patte Fiber aur Anti-Oxidants se bharpoor hote hain, Jise khane se sharir ke ander ki gandagi ko asaani se bahar nikaala ja sakta hain. Pet dard ya digestion kharab hone par Methi ke patto ko chai mein mila kar piye, aaram milega. Iske saath hi patto ko raat bhar paani mein bhigo kar subah iska paani peene se kabz ki samsya door hoti hain.
Colon Cancer se bachaav :- Jitna ho sake Methi ke saag aur Beej ko apni diet mein shamil kare. Kyonki iska fiber tatv body ko detox karta hain. Jisse colon cancer hone ki sambhavna kam hoti hain.
Heart Problem rakhe door :- Methi mein mauzood Galactomannan, Heart ko healthy rakhne ka kaam karta hain. Saath hi Fenugreek Leaves mein Potassium bhi acchi khasi matra mein mauzood rahta hain, Jo Heart Rate aur Blood pressure ko control karti hain, jisse high aur low BP ki shikayat nahi hoti hain. Isliye Methi ka saag heart ki problems ko door karne ke liye bahut hi faydemand hain.
Baalo ki problems ko door kare :- Diet mein Methi ke patte shamil kare aur saath hi iska paste bhi baalo ki jado mein lagaye. Isse baal kaale, Ghane aur chamakdaar nazar aate hain. Methi ke beejo ko raat bhar Nariyal ke tel mein bhigo kar rakhe aur subah is tel se seer ki maalish kare. Bahut hi jald asar dikhayi dene lagega.
Diabetes ka ilaj :- Methi aur Dalchini mein paya jane wala tatv lagbhag ek jaise hote hain. Inka Anti-Diabetic tatv body mein glucose level ko badhne nahi deta hain. Isliye Methi ki bhaaji ko jaroor khaye yeh Type-2 diabetes ke mareezo ke liye faydemand hota hain.
Bukhaar mein faydemand :- Ek chammach Methi ko Nimbu aur shahad ke saath khaye, jisse body ko androoni nutrients milta hain aur bukhaar mein aaram milta hain. Cough aur gale dard ki samsya mein bhi Methi khana faydemand hota hain.
Gas ki samsya door kare :- Methi ke patte Liver ke functions ko sahi rakhne ke saath Dyspepsia ki problem se bhi chhutkara dilaate hain. Gas ki problem se lagatar preshan hain toh Methi ke patte diet mein shamil kare. Itna hi nahi Methi ke patte Diarrhea aur Dysentery ka behatarin ilaj bhi hain. Methi aanto ko detox karne ka kaam karta hain. Kisi bhi tarah ki allergy ho ya saans lene mein preshani, sabhi tarah ke rog isse door ho jate hain.
Skin ke liye faydemand :- Vitamin C bahut hi accha Anti-oxidant hota hain, iske saath hi iska Anti-Inflammatory gun kai tarah ke skin problems se nipatne mein kargar hota hain. Daag-dhabbo ko door karke chehre ki rangat nikhaarta hain. Sujan ki samsya hone par Methi ko bhigo kar kisi kapde mein baandh de aur Sujan wali jagah par lagaye.
Cholesterol level balance kare :- Methi ke patte Blood Vessels mein hone wale congestion ko bhi door karte hain. Lipid ke utaar-chadhaav ki samsya se preshan hain ya badhte cholesterol se, Methi iska sabse sahi ilaj hain. Yeh LDL, Triglyceride aur HDL in sabhi ko balance karta hain. Raat bhar methi ke patto ko paani mein bhigo kar rakh de aur subah inka paani nikaal kar ise khaye.
Pimples aur moohase kare door :- Methi ko facepack mein istemal karke chehre par hone wale Pimples-Moohase, Wrinkles aur Black-Heads se bachaya ja sakta hain. Iske liye Methi ke patto ko Paani ke saath ubaal kar usse chehre ko dhoye. Iske alawa Methi ke patto ka paste bana kar 20 Minutes tak chehre par lagaye. Chehre par ek chamak nazar aayegi.
Motapa kam karne mein :- Exercise aur khan-pan mein saavdhaani bartane ke baawjood motapa control nahi ho raha ho toh subah khali pet methi ke beejo ko khana shuru kar de. Iska fiber tatv pet bhare hone ka ahsaas dilata hain, jisse khane ka mann nahi karta hain aur jiske chalte motapa dheere-dheere kam ho jata hain.
Acidity aur Seene ki jalan se chhutkara :- Bahut jyada tala-bhuna aur masaledaar khana aksar Acidity ki wajah banta hain, jisse rahat dilane ke liye methi ka istemal faydemand rahta hain. Iske liye Methi ke patto ko paani mein thodi der tak bhigoye aur uske baad iska istemal kare.
Methi khane ka nuksaan bhi hain :-
Miscarriage aur Premature Birth ka khatra :- Methi ka istemal Pregnancy ke dauran hone wale Labor Pain se rahat dilata hain. Lekin bahut jyada Methi khane se Miscarriage aur Premature Baby hone ke chances badh jate hain. Isliye Pregnancy mein Methi ka bahut jyada istemal karne se bachna chahiye.
Post a Comment