Aluminium ke bartan ke side-effects.
Bharat ke gharo mein Aluminium ke bartan ka istemal aam baat hain, lekin aluminium ke bartan mein khana pakana health ke liye nuksaandayak hain. Jab in bartano mein khana pakaya jata hain toh yeh aluminium ko soak karta hain aur cooking ke dauran yeh aluminium khane mein mil jata hain. Yeh Aluminium khoon ke saath mil kar body ke parts tak pahuchta hain, jisse kai tarah ki health problems paida ho jati hain. Aluminium ke bartan health ke liye hanikarak hone ki wajah inme ions ke tatvo ki mauzoodagi hain.
Yeh ions dimaag ke liye nuksaankari hain aur lagatar inki matra sharir mein jane se Alzheimer ki bimari hoti hain. Aluminium kidney ke rogiyo ke liye bhi sahi nahi hain khas taur par jo log dialysis par hain unkhe liye toh yeh behad khatarnaak hain. Isliye behtar hoga aap aluminium ke bartan mein khana na pakaye.
Isse accha hain ki aap Stainless Steel ke bartano ka istemal kare jo health par bura asar nahi dalte hain. Aaiye jante hain Aluminium ke bartan mein khana pakane se body par kya kya side-effects padte hain.
Aluminium ke bartan ke nuksan (Side-effects of Aluminium utensils in Hindi/Urdu)
• Osteoporosis :- Aluminium haddiyo ke development ko kam kar deta hain, jisse osteoporosis ka khatra badh jata hain. Yehi wajah hain ki young women ki haddiya samanya ke mukable kamjor hoti hain.
• Pagalpan :- Aluminium ke bartan nuksaankari hain kyonki yeh dimaag par bura asar daalte hain, Lagatar in bartano ka istemal karne se dimaag se related bimariya ho sakti hain aur yaddasht bhi kamjor padti hain.
• Kidney ki kharabi :- Agar aap lambe samay tak Aluminium ke bartan ka istemal karte hain toh isse Badi Aant, Kidney aur Blood par opposite asar padta hain.
• Yaddasht kam hona :- Aisa kaha jata hain ki in bartano mein mauzood ions cooking ke dauran khane mein mil jate hain, yeh chote ions ke tatv yaddasht ko kamjor banate hain.
• Cancer :- Halaki yeh abhi proof nahi hua hain ki Aluminium se cancer hota hain, Lekin yeh mana jata hain ki badi aant ke balance ko kafi hud tak yeh prabhavit karta hain, jisse cancer hone ki sambhavna badh jati hain.
• Alzheimer :- Aluminium ke bartano se nervous system par galat asar padta hain. Yeh Alzheimer hone ki sabse badi wajah ban sakta hain. Is tarah ki bimariyo se bachne ke liye jitna ho sake is tarah ke bartano ka istemal na hi kare.
• Udaasi aur neerasta :- Agar aap niyamit roop se Aluminium ke bartano ka istemal karte aa rahe hain toh aap thakaan aur udaasipan mahsoos karenge. Agar aisa hain toh medical test karwaye aur agar iski wajah aluminium ke bartano ka istemal hain toh turant inka istemal band kar de.
Post a Comment