Header Ads

Nakhoon kaatne se health ko hone wale fayde.

Nakhoon kaatne se  health ko  hone wale  fayde. Har koi janta hain ki bade nakhoono ko na kaatne se unme gandagi jama ho jati hain. Agar aapke nakhoon lambe hain aur aap apne haatho se aata goonane aur kitchen ke dusre kaam karti hain, toh aapke puri family ki health khatre mein pad sakti hain. Nakhoon chahe haatho ke ho ya pairo ke , unhe niyamit roop se kaatne mein hi bhalai hain. Dekha gaya hain ki ladke apne nakhoono par bilkul bhi dhyaan nahi dete hain. Veh nakhoon kaatne ko boring kaam samajhte hain ya phir itni jyada ahmiyat nahi dete hain. Lekin nakhoon ke ander bacteria jab jama ho jate hain, toh bhayanak bimariya paida kar dete hain. Aaiye jante hain Nakhoon kaatne se health ko kya kya fayde hote hain.

Health Benefits of Nail cutting in Hindi/urdu :- 

Cleanness :- Khoobsoorat nakhool aapki safaai aur cleanness ka prateek hote hain. Agar aap apne nakhoono ko niyamit roop se nahi katenge toh usme fungal infection hona shuru ho jayega. Nakhoono ko niyamit roop se kaatate rahne se pairo mein athlete foot ki bimari nahi hoti hain. Yeh bimari infection ki wajah se hoti hain jo nakhoono ke ander panpatehain.

Nakhoono mein chot :- Agar aap apne nakhoon nahi kaatate hain toh aap khud ko nuksaan pahucha rahe hote hain. Kabhi kabhi theek se naakhoon na kaatne par jab pair darwaze ya deewaar par zor se lag jaye toh aapko chot lag sakti hain. Isliye behtar hoga ki aap apne nakhoono ko chota rakhe.

Chamde mein dhase huye nakhoon :- Yeh ek gambhir medical haalat hain jo ki naakhoon na kaatne ki wajah se kisi kisi ko ho jati hain. Yeh dardnaak bhi ho sakta hain. Is tarah ke nakhoon jyadatar pairo ke angootho mein paye jate hain. Isliye aapko hamesha apne pairo ke nakhoono ko katate rahna chahiye.

Bacterial infection :- Agar aap lagatar band jootey ya mozey pahante hain toh aapke pairo ki ungliyo mein paseene ki wajah se bacterial infection panap sakta hain. Isliye apne nakhoono ko chota rakhe.