Header Ads

Kiwi khane ke fayde (Benefits of Kiwi Fruits in Hindi).

Kiwi khane ke fayde (Benefits of  Kiwi Fruits in Hindi).

Phadi ilako mein milane wale kai aise tasty fruits hain jo na sirf taste ke najriye se balki health ke lihaaz se bhi faydemand hote hain, jinke bare mein amooman hame jankari nahi hoti hain. Aisa hi ek phal hain kiwi , Jisme Anti-oxidants bharpoor matra mein paye jate hain aur yeh anti-aging ka kaam karta hain, Yaha tak ki diabetes ke mareez bhi ise kha sakte hain. Aaiye jante hain Kiwi fruit khane ke fayde, jinhe janne ke baad jaroor aap bhi kiwi khana pasand karne lagenge. Kiwi phal ke benefits itne hain ki yeh phal jaroor aapko aapki diet mein shamil karna chahiye. 


1. Diabetes ko control karne mein madad karta hain :- Is phal mein Glycemic index ki quantity kam hoti hain, jisse blood mein sugar level nahi badhta hain. Is wajah se Kiwi diabetes patient, Dil ki bimari aur wajan kam karne mein bhut hi labhkari hota hain.

2. Osteoporosis mein rahat :- Is phal mein Kele jitna hi phosphorus mineral paya jata hain, jo osteoporosis bimari mein faydemand hain. Yeh bones aur muscles ko strong banane mein help karta hain.

3. Pregnancy mein faydemand :- Pregnant women ko daily 400 se 600 microgram Folic Acid ki jaroorat padti hain. Kiwi folic acid ka accha source hain. Garbh mein pal rahe bacche ke dimaagi vikaas ke liye yeh bahut hi accha phal mana jata hain.

4. Lambe waqt tak jawan banaye rakhta hain :- Isme Vitamin E aur Anti-oxidants bharpoor matra mein paye jate hain. Yeh skin ke cells ko lambe samay tak theek rakhte hain aur immunity ko badhate hain.

5. Jaroori nutrients se bharpoor :- Agar Kiwi ko nutrients ka khazana kaha jaye toh yeh galat nahi hoga. Kyonki isme 27 se bhi jyada nutrients paye jate hain. Yeh fiber, Vitamins aur Anti-oxidants aur kai dusre minerals se bharpoor phal hain.

6. Body ko repair karta hain :- Isme Orange ke mukable dugna Vitamin C paya jata hain. Yeh body mein Iron sokhne mein help karta hain. Khas taur par Anaemia ke ilaj ke liye Kiwi bahut hi faydemand mana jata hain.

7. Hajma sahi rakhta hain :- Kiwi mein mauzood Fiber sharir ke hajme ko sahi rakhta hain. Khas taur par kabz ki shikayat hone par kiwi khana bahut hi faydemand rahta hain.

Toh dosto aaj aapne jana Kiwi hamare sharir ke liye kitna faydemand phal hain, Aur kiwi khane se aapko kya gajab ke fayde hote hain.