Header Ads

Maa ko bacche ko stanpaan kab tak karwana chahiye? How long time mother should be breastfeeding her baby?

Stanpaan kab tak karwana chahiye.
Doodh pilane wali maaon ko hamesha yahi chinta bani rahti hain ki baby ko kis umar tak doodh pilana chahiye aur ise chhudaane ka sahi waqt kaun sa hota hain? usay kis tarah se  food dene shuru karna chahiye aur  usay khana khilane ke saath saath  kya doodh pilana chahiye ya nahi? 

Shishuon ke breastfeeding ke pattern mein ho rahe changes ko kareeb se dekhne  par is baat  ka pata lagaya ja sakta hain ki usay kab  tak  stanpaan karwana chahiye ? 

Experts  ke anusaar baccho ko kam se kam 6 mahine ki umar tak sirf  stanpaan karwana chahiye aur jab tak veh 1 saal ka nahi ho jata, usay stanpaan ke saath food bhi khane  ko dena chahiye, Lekin usay kab maa ka doodh dena band  karna chahiye, Yeh harek bacche  ki situation ko dekh kar phaisla liya ja sakta hain. 

Kaise jaane  baby breastfeeding chhodne  ke  liye  ready hain ? 

Baby ke 6 months ke ho jaane ke baad  aap uske breastfeeding routine mein changes payengi. Yeh kai baar maaon ko is baat ka sanket hota hain ki shishu ko ab food dene ki shuruvaat  kar  deni chahiye. 
Kai bacche ek saal ki umar ka ho jane par tarah-tarah ke food khane  lagte  hain aur infect cup se  juice ya soup peena shuru kar dete hain. Agar  shishu thoda  bada ho jaye aur shaant hokar  breastfeeding karne mein interest na le raha ho toh yeh stanpaan band karwane ka sahi time ho sakta hain. 

Yeh hote hain sanket ;-

• Stanpaan ka samay kam ho jata hain. 
• iss dauraan asaani se shishu ka dhyaan bhatakne lagta hain.
• Stanpaan karne ki bajaye veh khelna shuru kar deta  hain.
• Shishu doodh peene mein jyada interest na le raha ho. 

Dheere-dheere badhaaye kadam :- 

Babies ko ekdum doodh pilana band kar  dena maa aur bacche dono par asar daalta  hain. Isse maaon ko breast infection hone ka khatra rahta hain aur achanak iss badlaav se baccha chidchida bhi ho jata  hain. Yeh yaad rakhe ki stanpaan shishon ke aaram ke saath unke poshan se juda hain, toh isse chhudaane mein jaldbaazi karna nuksaandeh saabit ho sakta hain. Bacche  ki jaroorat ko pura dhyaan rakhte  huye stanpaan karwaye.
Bacche se  bonding karne  ke  liye  alag-alag tarike  dhoonde jaise usay kahaniya sunaye, uske saath khele ya usse baatein karte  huye  usay walk par le  jaye. Is baat ka dhyaan rakhe ki is process ka effect dono par  pad sakta hain aur is badlaav par mishrit bhavnaayein normal si baat hain.

Kuch dino ka waqt de :- 

Stanpaan band karwane ke kuch dino baad ya kuch hafto tak shuruvaati badlaavo ke saath  taal-mel  bithaane ki koshish kare. Ek dum se stanpaan band karwane  ki bajaye dheere-dheere  is process  ki aor badhe, agar aapko uncomfortable feel ho rahi ho toh din mein ek baar  stanpaan karwa sakti hain.

Iss routine ko  lagatar follow  karte rahne se natural  tarike se doodh banna kam hone lagta hain. Agar  ek baar stanpaan ka period kam ho gya toh ise lagatar  kam karte huye  band kiya ja sakta hain. Kai  maayein stanpaan band  karaane se pahle kafi samay tak kewal bacche  ko sulate  samay hi stanpaan karwati hain.