Header Ads

Body ki sujan (swelling) ko kam karne wale food.

Body ki sujan (swelling) ko kam karne wale  food. Agar aapki body mein hardum sujan bani rahti hain aur aap oos par dhyaan nahi de rahe hain, toh samajh lijiye aapki body mein kuch lafda hain. Sharir mein sujan hone ki kai saari wajah ho sakti hain jaise ki pet ya liver ka kharab hona, body mein potassium ki kami, khoon ki kami ya phir sharir mein paani ki matra ka jyada hona aadi. 

Kabhi-kabhi swelling face aur body ke kuch hi parts par dikhaai deti hain. Lekin kabhi sujan itni badh jati hain ki pura sharir hi suja hua dikhayi deta hain. Doctors ke liye bhi yeh jaan paana mushkil ho jata hain ki body mein sujan kyon hain? Veh kahte hain ki body mein sujan kabhi-kabhar CRP naam ke protein ke badh jaane ki wajah se bhi hota hain.

Sujan se bachne ke liye aapko physically active rahne ki jaroorat hain. Iske alawa khane mein kuch aisi cheezo ko shamil kare jisse sujan mein kami aa sake . Aaiye jante hain kuch aisi cheeze aur food jinhe apni diet mein shamil karne se aap body ke sujan ko kam kar sakte hain.

Tomatar :- Tamatar mein Lycopene naam ka tatv hota hain jo lungs aur puri body ki sujan ko rokta hain. Raw tomato ki jagah pakaye huye tamatar ya iske sauce mein Lycopene jyada paya jata hain. Isliye aapko body ki sujan kam karne ke liye tomato sauce ko jaroor khana chahiye.

Soya :- Soya mein Estrogen aur Isoflavones naam ke tatv paye jate hain jo ladies ke CRP aur swelling ke level ko kam karte hain. Isliye Soya khane se Sujan ki wajah se haddiyo aur dil ko hone wale khatre ko bhi taala ja sakta hain. Aapko Soya Milk aur Tofu (Soya Paneer) ko apni diet mein jaroor shamil karna chahiye.

Harri Pattedaar sabziya jaroor khaye :- Hari Pattedaar sabziya sabhi tarah ke rogo ke ilaj mein faydemand mani jati hain. Khas karke Palak, Broccoli, Patta Gobhi aadi sabziyo ko khane se body ko vitamin E kafi acchi quantity mein prapt hota hain, jo ki sharir ke sujan ko kam karne mein kafi helpful hota hain.

Chukandar :- Chukandar mein bahut hi acchi quality ke anti-oxidants paye jate hain. Yeh sharir ki sujan ko kam karne ke saath saath dil ki bimariyo se bhi bachata hain. Isme vitamin C aur Fiber bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Aap chukandar ko Salad aur Juice ke roop mein apni diet mein shamil kar sakte hain. Lekin Salad ke taur par Chukandar khana aapke liye jyada faydemand rahega. Isse khoon ki kami bhi door hoti hain, Kyonki Chukandar mein Iron bahut hi acchi matra mein paya jata hain.

Saboot Anaaz :- Saboot anaaz mein bahut hi acchi quantity fiber mauzood hota hain jo khoon mein C Reactive Protein ki matra ko kam karta hain, Jisse sharir ki sujan automatically kam hone lagti hain. Saaboot Anaaz ke taur par aap Wheat, Rice, Bajra, Bread aadi ko apni diet mein shamil kar sakte hain.

Low fat dairy products :- Dairy Products jinme Calcium aur Vitamin D acchi matra mein hota hain, veh har kisi ke liye bahut hi faydemand mane jate hain. Lekin aapko Low Fat wale products ka istemal karna chahiye.

Garlic aur Onion :- Lahsun aur Pyaaz ko apni diet mein jaroor shamil karna chahiye. Kyonki inme aise chemical paye jate hain jo sharir ki sujan ko kam karne mein bahut hi jyada faydemand hain.

Oil wali Fish :- Machhali ko apne aahaar mein jaroor shamil kare, khas karke Salmon, Tuna, Mackerel aur Sardines naam ki macchli mein omega-3 Fatty acid paya jata hain, jisse sharir ki sujan kafi kam ho jati hain. Aapko hafte mein 2-3 din machhali ko jaroor khana chahiye. Agar aap machhali nahi khate hain toh aapko Omega-3 Fatty Acid ke supplements khana chahiye.

Ginger aur Turmeric :- Adrak aur Haldi yeh dono hi body ke immune system ko strong banate hain aur sujan ko control mein rakhte hain.

Dry Fruits :- Dry Fruits mein specially Badam aur Akhrot mein bahut hi acchi matra mein Calcium, Vitamin E aur Fiber paya jata hain, Jo sharir ke liye bahut hi healthy mane jate hain. Aapko dry fruits ko apni diet mein jaroor shamil karna chahiye, Kyonki aapko har dry fruit mein acchi matra mein Anti-oxidants milenge jo sharir ke sujan ko kam karne mein madadgar hain.