Header Ads

Istemal giye gaye tel mein khana pakane ke nuksaan

Istemal giye gaye tel mein khana pakane ke nuksaanAgar aap pakode ya dusre kisi pakwaan ke talne ya pakane ke baad bache huye tel ko dobara se istemal karte hain, toh saavdhaan ho jayiye. Yeh tel aapki sehat ke liye bahut hi khatarnaak saabit ho sakta hain. Aaiye jante hain ki bache huye tel mein khana kyon nahi pakana chahiye? Kyon bache huye tel ka dubara se istemal nahi karna chahiye, isse sehat ko kya-kya nuksaan ho sakte hain. Aaiye jante hain :- 


• Khatarnaak cholesterol ke roop mein yeh aapke dil ke behad hi haanikarak saabit ho sakta hain. Yeh dil ki dhamiyo mein jam kar dil ko bimar bana sakta hain, Saath hi isse heart attack aane ki sambhavna kafi badh jati hain.


• Baar-baar garm kiya hua tel ya bhir bacha hua tel cancer ki sambhavna ko badha deta hain. Yeh aapko pet ka cancer, gall bladder ka cancer , liver ka cancer aur bhi kai tarah ke cancer bhi de sakta hain.



 • Baar-baar tel ko garam karne se tel ke anu tezi ke saath anubandh banate hain aur veh gadha ho jata hain. Is tarah ka tel haanikarak cholesterol ke roop mein sharir ke ango mein jama ho jata hain aur motapa bhi badhata hain.


 • Iske alawa yeh aapko pet aur dil se judi bimariyo ka shikaar bhi bana deta hain. Iske karan aapko Alzheimer , Acidity aur dusri gambhir bimariya ho sakti hain.


• Bache huye tel yani ki tel ko baar-baar garam karne se iske Anti-oxidants aur dusre faydemand tatv khatm ho jate hain aur tel fayda pahuchane ki bajaye nuksaan pahuchane lagta hain. Iska istemal karna health ke liye nahi balki skin ke liye bhi khatarnaak ho sakta hain.