Mobile phone ke addiction se chhutkara pane ke tips.
Kya aap hamesha apne dosto se mobile par baatein karte rahte hain, Ringtone download karte rahte hain aur logo ko sms send karte rahte hain? Aap in sabhi kaamo ke liye kitna time kharab karte hain, usse yeh pata chalta hain ki aapko mobile phone ki latt pad chuki hain. Mobile phone ki latt ko chhodne ya kam karne ke liye is post ko jaroor padhe , yaha hum aapko kuch aise tips bata rahe hain jinhe follow karne par aap mobile addiction se bach sakte hain.
Iss baat par jaroor soche ki aapko cell phone itna pasand kyon hain? Phir aap is baat par soche ki aapke phone mein aisa kya khas hain jo aapko attract karti hain aur yeh bhi soche ki agar aapke phone se veh cheez delete ho gyi toh kya hoga. Agar yeh puri tarah se kewal aapka phone hain toh vichaar kare ki yeh emergency ke liye hain.
Sabhi extra features jaise free text massage, Ringtones , download plan ko hatwa de. Aap SMS ki service rakhe kyonki jyadatar sms send karne ke liye aapko kuch rupaye kharch karne padte hain, Baar –baar sms bhejne par aapko paise kharch karne padenge, jisse aapko sms bhejne ki latt kam ho jayegi.
Agar aap kisi friend ke saath baatcheet karte rahte hain aur apna jyada waqt phone par bitate rahte hain toh jab bhi aapka mann kisi dost ko phone karke baat karne ko kare toh yeh soche ki , kya sach-much mein mujhe oos dost ke saath abhi phone ya massage karne ki jaroorat hain ya phir main wait kar sakta hoon?
Sabse jaroori hain ki aap apne mobile mein balance kam rakhe, jisse aap apne dosto ya relatives se phone par kam baat kar sakenge, kyonki agar balance hi nahi hoga toh phone hi nahi lagega.
Apne aap ko busy rakhe, Koi naya hobby apnanye, Jaise painting kare, instruments bajaye, kadhai-seelai kare. Aap chahe toh ghar ke kaam kare jaise bazaar mein jakar ghar ka saamaan le aaye, ghar ke kaamo mein mata-pita ka haath bataaye, ya phir apne bhai-bahano ke saath waqt bitaye.
Jab bhi apne cell phone ke istemal karne ki tivra iccha (addiction) ho toh apne phone ko kisi dusre ke paas jaise mata-peeta ke paas rakh de, ya apni nazro ke saamne se door karde.
Halaki ki upar bataye gye tips mobile phone ke addiction ko kam karne mein kargar hain, lekin aaj kal ke zamane mein mobile phone ka paas rahna bahut hi jaroori hain, Lekin agar aap 24 hours mobile ko apne saath rakhte hain toh yeh bhi acchi baat nahi hain.
Post a Comment