Header Ads

Gulab ka phool sirf khubsoorati ke liye hi nahi balki health ke liye bhi accha hain.

Gulab ka phool sirf khubsoorati ke liye hi nahi balki health ke liye bhi accha hain. Gulab ek bahuvarshiya, Jhadidaar, Katila, phoolo wala paudha hain. Jisme bahut hi khusboodaar phool lagte hain. Iski 100 se adhik prajatiya hain jinme se jyadatar Asian mool ki hain. Jabki kuch jatiyo ka mool Europe, North America aur Northern-West Africa bhi hain. Gulab ke phool ko komalta aur sunderta ka pratik mana jata hain. Lekin yeh khubsoorat phool hi nahi hain, balki kai tarah ke aushdhiya guno se bharpoor hain. Gulab ki sungandh hi nahi iske gun bhi utne hi acche hain. Is phool mein rogo ke upchar karne ki kshamta hain. Aaj hum aapko batane ja rahe hain Gulab ke phool ke aise gharelu nuskhe aur upay ke bare mein jinse aap anjaan thay. 


1. Gulkand mein acchi matra mein Anti-Oxidants hote hain jo sharir ki rog-pratirodhak shakti ko badhate hain. Tavcha ke liye bhi yeh behad faydemand hain. Iske Anti-Bacterial gun skin ki problems ko mitate hain.

2. Gulab ki phool ki pankhudiyo ko khane se masoode aur daant majboot hote hain. Mooh ki badboo door hoti hain aur Payria rog se bhi nijat mil jati hain.

3. Arjun ki chhal aur desi gulab ko ek saath milakar paani mein ubaal le. Yeh kadha peene se dil ki bimariya khatm hoti hain. Dil ki bimariya badh rahi ho toh Sookhi pankhudiya ubaal kar piye.

4. Neend na aati ho ya tanav rahta ho toh seer ke paas gulab rakh kar soye, Anindra ki samsya door ho jayegi.

5. Gulab ki pattiyo ko glycerine daal kar pees le. Is mishran ko hontho par lagaye. Isse honth gulabi aur chikne ho jate hain.

6. Aankho ki garmi ke karan jalan ho ya dhool mitti se aankho mein takhleef ho toh gulab jal se aankho ko dhone se aaram milta hain. Ratondhi naam ke aankho ki bimari mein gulab jal achuk dawa ka kaam karta hain.

7. Choti-choti funsia ho rahi ho toh gulkand ka sewan kare, funsiya khatm ho jayengi. Chote baccho ke pet mein keedhe hone par baividing ka churan gulkand mein mila kar ek-ek chammach subah-shaam 15 dino tak le. Pet ke keedhe khatm ho jayenge.

8. Aanto mein ghaav ho toh 100 gram mulethi, 50 gram saunf, 50 gram gulab ki sookhi pankhudiya teeno ko mila kar pees le. Rojana is churan ki 10 gram matra mein sewan kare.

9. Gulkand mein Vitamin C, E aur B acchi matra mein paye jate hain. Khana khane ke baad gulkand khane se hajme se judi sabhi problems door hoti hain.

10. Gulab mein Vitamin C bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Gulkand rojana khane se haddiya majboot ho jati hain. Rojana ek gulab khane se T.B. ke rogi ko bahut jaldi aaram milta hain.

11. Gulab se bane gulqand mein gulab ka ark hota hain. Jo sharir ko thandak pahuchata hain. Yeh sharir ko de-hydration se bachata hain aur taro-taza rakhta hain. Pet ko bhi thandak pahuchata hain. Gulkand energy dene wala ek sheetal tonic hain, jo thakaan, aalasya, maanspeshiyo ke dard aur jalan aadi ki samsyaon ko door karta hain.

12. Bhojan ke baad Paan mein Gulkand dalwa kar khana chahiye. Isse saans ki durgandh bhi door ho jati hain aur khana bhi hajam ho jata hain.

13. Gulab ki pankhoodiyo ko sukha kar churan bana le. Is churan ko chechak ke rogi ke bistar par dalne se usay thandak aur aaram milta hain.

14. Gulab ko pees kar lep bana kar seer par lagane se seer dard gayab ho jata hain.

Aaiye Gulab ke gharelu nuskhe aur upay ka video dekhte hain.