Header Ads

Kya aapka baccha bhi doodh peene mein karta hain aana-kaani, toh apanye yeh tips.

Baccho ko doodh kaise pilaye.
Jyadatar maaon ki problem yahi rahti hain ki unka baccha doodh peene mein aana-kaani karta rahta hain. Doodh na peene ki wajah se baccho mein nutrients, Vitamins aur calcium ki kami ho sakti hain. Milk baccho ke sharirik vikas ke saath saath dimaagi vikas ke liye bahut hi jaroori hain. Lekin kai bacche doodh peene se nafrat karte hain. Doodh peene se haddiya aur daant strong bante hain.

Toh kya aap bhi oon parents mein se ek hain, jinke bacche ko doodh peena pasand nahi hain? Aur veh doodh har waqt doodh peene se  katrata hain. To aaj ki post jaroor  padhe, kyonki aaj hum aapko aise tips batayenge, jinhe apna kar aap baccho mein doodh peene ke prati lagaav paida kar sakte hain. Baccho ko doodh kaise pilaye, Jisse baccha doodh peene se nafrat na kare, balki usse pyaar kare. Aayiye jante hain :-

• Jin baccho ko doodh peena pasand nahi hain, unko badam wala doodh diya ja sakta hain. Agar aap is doodh mein thoda kesar mila de toh iska taste aur  bhi accha ho jayega, jisse baccha asaani se  doodh pee lega.

• Bacche ko doodh peene ke liye courage  kare, Maslan jaise bacche ko doodh peene ke liye  de toh uske  doodh peene ke baad aap khud  clapping, cheers aadi kare, jisse chote bacche ke mann par accha effect padta hain aur usko doodh peena accha lagne  lagega.

• Kai baccho ko doodh ki smell pasand nahi hoti hain. Doodh ko fridge  mein rakhe aur  usay pilaye. Lekin yaad rahe hamesha thanda doodh pilane se bacche ko sardi-jukaam ki problem ho sakti hain.

• Badam Milk ke alawa aap Soya Milk bhi bacche ko pila sakte hain, Soya milk market mein kai flavor mein mil jata hain. Iske flavor  ko bacche kafi pasand karenge  aur asaani se soya milk ko pee lenge. Isme Gaay aur  Bakri ke doodh ke mukable  utna hi Vitamins aur Protein  paya jata hain.

• Baccho ko din mein 2 baar doodh pilana chahiye. Is baat ka  khayaal rakhe ki baccho ko khana khilane ke baad  doodh jaroor peene ko dena chahiye. Subah breakfast ke baad  aur shaam ko fruits  ke  doodh peena chahiye. Lekin doodh ko kabhi bhi khatte  phalo ke saath nahi peena chahiye.

• Aap chahe toh bacche ko doodh mein bread  ya biscuits  dubo kar de sakte  hain. Iske  upar se thoda  cheery ki garnish karde, jisse baccha ise  pyaar se kha lega.

• Garmiyo ke dino mein aap Bacche ko doodh ki jagah Milk shake bhi peela sakte hain, aur yeh aapke bacche ko pasand bhi aayega. Lekin baar baar thanda  milk shake peelane se  bacche ko sardi-jukaam bhi ho sakta  hain.

• Agar  bacche ko flavor badal kar doodh peene ko diya jaye toh veh usay bahut ki pasand karega, lekin flavor tabhi add kare jab bacche  ko saada doodh peena pasand na ho.

• Jaise ki bacche doodh peene ke time doodh aur  uske smell ko pasand  nahi karte hain, toh unhe  doodh pilaate  waqt  aap unki naak ko dabaa de , Jisse doodh ki smell ka unpar asar nahi padega.

• Aap chahe toh bacche ko doodh kisi khane wali cheez ke saath mila kar de sakti hain. Phal, Chawal aur Sharabat jaisi cheezo ke saath doodh ko mix karke  bacche ko khane ya peene ke liye de, Yeh  unko jaroor pasand aayega. Chawal pakaye usme doodh aur  phal aadi daal kar khilaye, Yeh unke health ke liye bhi faydemand rahega.