Janiye Beta Carotene ke baare mein.
Aankho ki bimariyo aur cancer ke upchar ke liye yeh carotenoids faydemand hain. Lekin iske liye apne khan-pan par khas dhyaan dene ki jaroorat hain, Kyonki in Carotenoids ki kami se hi nahi, balki inki jyada matra se bhi sehat ko nuksaan ho sakte hain.
Kya hain Beta-Carotene ?
Hamare liye jaroori Carotenoids mein Beta-Carotene bahut hi jaroori hain. Beta-Carotene paudhe aur phalo mein paya jane wala lal, peela aur narangi pigment ya rang hain. Dekha jaye toh gahre Lal, Peela, Narangi rang wali phal aur sabziyo se hame Beta-Carotene prapt hota hain. Jaise - Gajar, Palak, Tamatar, Shakarkandi, Broccoli, Kaddu, Kharbooza, Papita, Aam, Matar, Lal-Peeli Shimla Mirch, Khubaani aadi.
Inme mauzood Phytochemicals Shaleshma (paudho mein paya jane wala chemical substans) ko Photosynthetic jhilli mein ikkatha karke food mein gahre rang ko paida karta hain. Yeh khane wali cheezo mein natural roop se mauzood fat mein ghulansheel active compound hain. Vaise toh Beta-Carotene apne aap mein koi poshak tatv nahi hain, Lekin yeh Retinol mein badal kar hamare sharir mein Vitamin A ki supply karta hain, Jo kai tarah ke aankho ke rog, cancer, dil ki bimari ke ilaj karne mein capable hain.
Beta-Carotene ke source aur Khuraak :-
Scientists ne bhi balanced quantity mein Beta-Carotene ke sewan ko sharir ki jaroorat ke hisaab se hi Vitamin A ki supply ka safe source mana hain. Iski kami se jaha aankho ki bimariya, cancer, heart se related bimariyo hone ka khatra rahta hain, Vahi iski jyada matra bhi Cigarette peene walo ke liye khatarnaak saabit ho sakti hain. Scientists ne ek healthy person ko daily 3-6 Milligram Beta-Carotene ke sewan ki recommendation kiya hain, Jiski supply ke liye Supplements lene ki bajaye Lal, Narangi aur peele phal aur sabziyo ko apni diet mein shamil karna chahiye. Din bhar mein 5 baar phal aur sabziya leni chahiye.
Bahut faydemand hain Beta-Carotene :-
Beta Carotene Anti-Oxidant aur Immune system booster ke roop mein kaam karta hain. Researches se yeh saabit ho chuka hain ki Beta-Carotene hamari body ko Free radicals se bachata hain aur immune system ko majboot banata hain. Sahi matra mein iske sewan se Coronary Artery Disease, High Blood pressure aur heart attack ke khatre ko kam kiya ja sakta hain.
Vitamin A ka manufacturer (producer) hone ki wajah se Beta-Carotene skin ko healthy banaye rakhne mein madad karta hain. Skin mein dryness, Psoriasis aur Vitiligo jaisi bimariyo ke ilaj mein helpful hota hain. Yeh sunburn ke khatre ko kam karta hain. Vitamin C aur E se bharpoor khadya padartho ke saath mil kar Cancer ki roktham mein ahem role ada karta hain. Umar badhne ke saath aankho ko healthy banaye rakhne mein important role nibhata hain.
Saavdhaaniya :- Doctor ki salah par hi Beta-Carotene ki khuraak leni chahiye, Khas-taur par Cigarette peene walo ko Beta-Carotene ki jyada dose lene se bachna chahiye.
Jyada matra mein iska sewan hain nuksaandeh :-
Researches se saabit ho chuka hain ki jyada Beta Carotene ka sewan hamare liye nuksaandeh hain. Isse Carotenemia hone ki aashanka rahti hain, jisse hamari skin peeli ho jati hain. Iske jyada sewan se sharir mein Vitamin E ka level kam ho jata hain, Jiska asar khoon ki kami ke roop mein dikhaayi deta hain.
Post a Comment