Cholesterol ke liye badhiya tel kaun sa hain?
Cholesterol kya hain ?
Cholesterol blood mein fat ke saath paya jane wala ek naram padarth hain, Jo body activities ke liye jaroori hain. Yeh 3 tarah ka hota hain - Low-density lipoprotein, High Density Lipoprotein, Very Low-density lipoprotein. Kisi bhi Vegetable Fat mein Cholesterol nahi hota hain, Lekin yeh sharir mein cholesterol ko paida jaroor karta hain. Desi ghee, Makkhan, Chicken, Anda, Shellfish aur Dairy Products mein Cholesterol paya jata hain.
Fat 2 tarah hote hain Bad Fat aur good fat :-
Bad Fat :-
Saturated Fat :- Yeh total cholesterol aur LDL ke level ko badha deta hain.
Trans fat :- Yeh LDL (Bad Cholesterol) ke level ko badhata hain aur HDL (Good Cholesterol) ko ghata deta hain.
Good Fat :-
Monounsaturated Fat :- Yeh total cholesterol aur LDL (Bad cholesterol) ke level ko ghatata hain aur HDL (Good Cholesterol) ko badhata hain.
Polyunsaturated Fat :- Yeh Total Cholesterol aur LDL ke level ko kam karta hain.
Cholesterol aur Sehat ke lihaz se kaun sa tel (Oil) hota hain badhiya :-
Hamse se jyadatar log oil ki jankari hone ke naam par bas yahi bata payenge ki hame oily food aur khas karke saturated fat nahi lena chahiye. Khana pakane ke liye desh bhar ke alag-alag hisso mein alag tarah ke tel ka istemal kiya jata hain. Central aur West India mein jaha aamtaur par Moongfali ka tel istemal hota hain, Vahi South India mein Nariyal ka tel aur Punjab-Haryana mein Surajmookhi ka tel aur Ghee ka istemal aam baat hain. Vaise sehat ke lihaaz se har tel ki apni alag value hain. Kya aapko pata hain ki Soyabean ka tel talne ke liye accha nahi hota aur nariyal ke tel mein cholesterol nahi paya jata hain. Aaiye jante hain Cooking oil ke baare mein jo cholesterol ke liye bhi acche hote hain.
• Soyabean ka tel :- Soyabean Oil central India mein istemal kiya jane wala tel hain, Is tel mein Polyunsaturated fat hota hain, Khas karke Alpha Linoleic Acid. Sehat ke liye yeh accha tel hain. Yeh Good aur Bad Cholesterol ke beech mein balance banaye rakhta hain. Talne ke liye sahi nahi hain. Polyunsaturated fat garm hokar Toxins mein badal jate hain.
• Nariyal Tel :- Coconut Oil Saturated Fat hain, Lekin Vanaspati tel hone ki wajah se isme Cholesterol nahi hota hain, Sehat ke liye theek hain, Talne ke liye sahi nahi hain, Salah yeh di jati hain ki dusre oils ke combination ke saath iska istemal kare.
• Rice Bran Oil :- Japan aur Korea mein istemal kiya jane wala dhaan ke chhilke se nikaala tel ab India mein bhi apni jagah bana raha hain. Isme Monounsaturated fat hota hain. Sehat ke lihaaz se yeh badhiya hain. Isme Oryzanol bhi hota hain, Jo LDL (Bad Cholesterol) ko kam karta hain. Saath hi isme natural vitamin E aur Squalene bhi paya jata hain, Jo tavcha ko young banata hain. Talne ke liye accha hain aur yeh moongfali ke tel ke mukable 12-20 percent tak kam sokha jata hain.
• Sarso ka tel :- Sarso ka tel, India mein jyadatar istemal kiya jata hain. Isme Monounsaturated Fatty Acid ki matra kafi hoti hain aur isme Polyunsaturated Fatty Acid bhi hota hain. Health ke liye Sarso ka tel bahut hi accha hain. Iska istemal total Cholesterol aur LDL ko kam karta hain. Talne ke liye sahi hain. Salah yeh hain ki Erucic acid ki mauzoodagi nuksaan kar sakti hain, Iske saath hi dusre telo ka bhi istemal kare.
• Olive Oil :- Kisi waqt sirf Mediterranean desh maslan Spain, Argentina jaise desho mein istemal kiya jane wala Olive Oil apne taste ke chalte duniya bhar mein popular ho gya hain. Isme Monounsaturated Fat hota hain. Yeh tel kai kism ka hota hain , Jaise Extra Virgin ( Olive ko first time compress karke nikaala gya), Virgin (Dusri baar press karke nikaal gya) , Pure ( Process kiya) aur Extra Light (Kam flavor wala processed oil. Health ke nazariye se yeh bahut hi accha oil hain. Yeh total aur LDL cholesterol ke level ko kam karta hain. Yeh body mein fat distribution par bhi effect rakhta hain. Pet par charbi jama hone se rokta hain. Talne ke liye accha hain
• Kardi Oil :- Polyunsaturated Fat wala Kardi Oil (Saffola Oil) kai jagah istemal kiya jata hain. Sehat ke liye accha hain, Talne ke liye sahi nahi hain.
• Palmolive oil :- Palmolive Oil (Taad ke tel) mein Monounsaturated Fat hota hain, Lekin Linoleic Acid ki matra kam hoti hain. Ise bhi dusre telo ke combination ke saath istemal kiya ja sakta hain.
• Surajmukhi ka tel :- Punjab, Haryana, Kashmir aadi mein jyada istemal kiya jata hain. Isme Polyunsaturated fat ki matra jyada hoti hain, khas karke Linoleic Acid ki. Health ke nazariye se yeh accha tel hain. Talne ke liye accha nahi hain, Kyonki Polyunsaturated garm hokar toxins mein badal jate hain. Salah yehi di jaati hain ki iske saath kabhi kabhi Palm ya Palmolive Oil ka istemal karna sahi rahega.
• Moongfali ka tel :- Desh mein sabse jyada istemal kiya jane wala tel Moongfali ka tel hain. Isme Monounsaturated Fat hota hain. Health ke liye accha hain. Yeh LDL ke level ko kam karta hain, Lekin Good cholesterol ke level ko normal rakhta hain. Talne ke liye accha hain.
Post a Comment