Header Ads

Kya aapko pata hain LPG connection par aapko milta hain 8 lakh tak ka accidental insurance.

Kya aapko pata hain LPG connection par aapko milta hain  8 lakh tak ka accidental insurance. Jaise hi koi vyakti LPG ka new connection leta hain, Veh 8 lakh rupaye tak ke beeme ka hakdaar ho jata hain. Accident hone ki situation mein veh 8 lakh rupaye tak paane ka hakdaar ho jata hain. Iske liye usay koi alag se premium amount dene ki jaroorat nahi padti hain aur na hi kisi ko nominee ka naam batan hota hain. Yeh insurance automatically Oil companies Consumer ke liye karwati hain. 

Public distributors companies ( Indian Oil, HPC aur BPC) ko aor se Jan deyta Bima policy karwana Government ki aor se compulsory hain. Yeh insurance policy kisi ek consumer ke liye nahi karwayi jati hain. Yeh sabhi oon consumers ke liye hoti hain jo kisi bhi tel company ke LPG Consumer hain.

Govt. website Mylpg.in ke mutabik har accident par lagbhag 8 Lac rupees ka claim mil sakta hain. Isme shamil har aadmi ka maximum 10 Lakh rupaye tak ki harzana diya ja sakta hain. Halaki is tarah ke accidents mein di jane wali amount annual 100 Crore rupaye se upar nahi ho sakti hain.

Jaise : Accident ke roop mein ek ghatna mein agar kisi ki maut hone par 5 lakh rupaye tak harzana mil sakta hain. Medical kharche ke roop mein 1.5 Lakh rupaye mil sakte hain, jisme prati vyakti 1 lakh rupaye aur turant sahayta ke roop mein 25 hazaar rupaye prati vyakti mil sakte hain. Registered Consumer ki property ka nuksaan hone par maximum 1 lakh rupaye tak ka harzana mil sakta hain. Is tarah kul mila kar lagbhag 8 lakh rupaye ka cover consumer ko milta hain.

Agar LPG consumer ke ghar mein LPG ki wajah se koi accident ho gya ho, toh iski turant soochna nazdiki police station aur LPG distributor ko de. Isi ke saath yeh bhi dhyaan rakhe ki durghatna se hone wale kisi bhi tarah ke physically aur ghar ke nuksaan, Hospital Bill etc. ki original copy sambhaal kar rakhe. Iski jaroorat beema claim karne ke time padti hain.

Jaise hi LPG se judi koi durghatna saamne aati hain, Related Area ka officer accident ki wajaho ki jaanch karta hain. Agar accident ki wajah LPG hain, toh related gas distributor insurance company ko iski jaankari deta hain. Vahi beema company se claim ke liye daawaa pesh karta hain.

Agar LPG consumer ya uske parivaar ke member ki oos accident mein death ho jati hain, toh oil company ko Death Certificate, Postpartum report chahiye hoti hain. In documents ke bina insurance ki rashi nahi di ja sakti hain. Isliye in documents ko sambhaal kar rakhna chahiye.

Gambhir roop se ghayal hone par Doctors ke dwara likhi gyi parchiya, Dawaai ki parchiya, Discharge Card aur hospital se jude kharcho ki jankaari original bill ke saath company ko di jati hain.

Property ko nuksaan pahuchne ke situation mein Beema company apni taraf se surveyor appoint karti hain, jo nuksaan ki jaanch karta hain aur report insurance company ko bhejta hain. Surveyor ki aor se puche gye questions ka jawaab cool rah kar aur vistaar se jawab dena chahiye. Apne jawaabo ko baar-baar change nahi karna chahiye.


Agar aapko LPG ke wajah se huye accident ka insurance claim lena hain toh dhyaan rakhe ki kabhi bhi bina ISI mark ke saamaan ka istemal na kare. Khastaur par gas lighter, Gas Pipe, Gas Stove toh ISI mark ka hona hi chahiye. Aapko har saal gas dealer se maintenance check bhi karwaate rahna chahiye. Iski receipt bhi sambhaal kar rakhni chahiye. Aapko hum yeh batan chahte hain ki desh bhar ke jyadatar logo ko pata hi nahi hain ki Gas ke saath Beema (Insurance) bhi hota hain aur accident hone par is bima ki rashi ko liya ja sakta hain.