Mouse se jude kuch interesting facts.
Douglas Engelbart ne 1960 mein jab computer mouse ka aavishkaar kiya tha , tab unhone ise lakdi ka banaya tha. Lekin ab tak ke safar mein Mouse ne tamam tarah ke changes aa gaye hain. Ab yeh wireless bhi ho gya hain. Aaiye aaj ki is post mein jante hain Computer Mouse se jude history aur kuch interesting facts ke bare mein.
• Jis samay 1960 mein Douglas ne mouse ko invent kiya tha , Oos time computer bade-bade kamro ke barabar hote thay, In machines mein punch card ke jariye data bhare jate thay.
• 1963 mein Bill English ne Douglas ke sketches ke base par Lakdi ka mouse banaya, Jise chalane ke liye 2 pahiyo ka istemal kiya gya. Douglas ne 1968 mein San Francisco ke Computer Conference mein mouse ka sabse pahla demonstration diya.
• Jacky Holy aur Bill English, Douglas ke is kaam se behad hi impress thay. Unhone usi base par pahla digital mouse 1972 mein Xerox park design kiya. Is mouse mein analogue se digital mein convert karne nahi hoti thi, Yeh seedhe information computer ko bhejta tha. Isi mouse mein pahli baar metal ki ball lagayi gyi.
• 1970 mein Douglas Engelbart ne Mouse ka patent karaya tha, Unke naam Mouse ke alawa 45 aur aavishkaaro ke patent hain.
• Shuruvaat mein Mouse ko Bug ke naam se jana jata tha, Lekin ise mouse kaha gya, kyonki Stanford Research Institute mein vikseet kiye gye mouse ka size bilkul choohe ki tarah tha.
• Douglas ke presentation ke kareeb 20 saal baad 1981 mein mouse istemal ke liye market mein available hua. Jisme Ball aur 2 button hote thay. Xerox Star 8010 personal computers ke saath ise becha gya. Oos samay Computer ki keemat 16000 $ thi.
• Mouse Baal ka aavishkaar Bill English ne 1970 mein kiya tha.
• Microsoft ne pahli baar 1983 mein Mouse ki bikri shuru ki.
• 1991 mein Logitech ne world ka pahla wireless mouse pesh kiya , Jisme radio frequency transmission ka istemal kiya gya.
• 2004 mein Logitech ne pahla Laser mouse market mein utaara. Is mouse ki speed optical mouse se 20 guna jyada thi.
• Mouse ki speed ko Mickey unit mein gina jata hain. 1 Mickey ek inch ka 200 va hissa hota hain.
• Ise English, Spanish, Italian, German, French, Russian samet jyadatar bhashao mein Mouse ke naam se hi jana jata hain.
Kaun thay Douglas Engelbart ?
> Douglas Engelbart sirf mouse ke janamdaata nahi thay, Balki E-mail, Word-processing aur Teleconferencing par bhi unhone shuruvaati kaam kiya tha. Unka janm 30 January 1925 ko Oregon ke paas Portland mein hua. Unke father Radio Mechanic aur Mother Housewife thi. Unhone Electrical Engineering ki degree lene ke 2nd world war mein Radar Technician ke taur par kaam kiya. Uske baad unhone Nasa ki society NACA mein Electrical Engineer ki post par kaam kiya. Jald hi veh job ko chhod kar doctorate ki upaadhi ke liye Barkley stith California University chale gye. Baad mein unhone apni Augmentation Research Center kaayam ki. Unki research ne ARPANET ke vikas mein sahyog diya, jisne aage chalkar Internet ka roop liya. Unhe 1997 mein Lemelson-MIT prize se nawaza gya.
Post a Comment