Nakhoon chabana hain buri aadat.
Daanto se naakhoon chaabana ya kaatna bahut hi gandi aur buri aadat hain. Nail Biting ko Onicofagia bhi kaha jata hain. Is aadat se lagbhag har umar ke log preshan rahte hain. Experts nail biting karne ke liye kai wajahe batate hain, Jinme se stress yani ki tension mukhya wajah mani gyi hain. Ya phir veh aisa mante hain ki Nakhoon chabaane ki gandi aadat bachpan mein paida ho gyi ho. Aayiye jante hain ki nakhoona daanto se chabaane ya kaatne se aapko kya nuksaan ho sakte hain.
Bimari paida karne wale bacteria :-
Nakhoono ko bacteria paida karne wali khas jagaho mein se ek mana jata hain. jab aap nakhoono ko chabaate hain toh yeh bacteria asaani ke saath aapke mooh ke ander chale jate hain aur pure sharir mein phail jate hain. Yeh aapki ungliyo ke mukable dugne gande hote hain, Aisa manna hain ki nakhoono ko saaf rakhna mushkil kaam hain, jisse infection hone ka khatra badh jata hain.
Nakhoono mein masse ho jate hain :- Jo log aksar apne nakhoono ko chabaate hain, Unki ungliyo par HPV ke karan warts (Masse) ki samsya aam hoti hain. Yadi koi iske baad bhi nakhoono ko chabana jaari rakhe toh unke mooh aur honth tak warts phail jate hain.
Unbalance life :- Jin logo ko nakhoon chabaane ki aadaat uncontrolled rahti hain, unki life oon logo ke mukable kafi jyada unbalanced rahti hain jo log aisa nahi karte hain. Yeh level naakhoon kaatne ki badhit aadto ke saath badhta jata hain. Agar aap khud ko nakhoon chabane se rokte hain toh tension feel hoti hain, Nakhoon kaatne ka negative asar life ki quality par bhi padta hain.
Daant kharab ho jate hain :- Jab hum mooh band karte hain toh upar se neeche daant iss kataar mein hote hain ki khaane ko sahi tarah se chaba sake. Lekin jin logo ko nakhoon chabaane ki aadat hoti hain, unke daant apne sahi position se hut jate hain aur samay se pahle unke girne ka khatra rahta hain.
Daanto se nakhoon chabaane ke time ko pahchane :- Nail biting ke triggers ko pahchane , Jaise boring, television dekhte huye nakhoon chabana aadi. Is dauran apne haatho ko band ya electric tape se baandh kar rakhe.
Nakhoono ka infection :- Lagatar nakhoon chabaane se uske aas-paas infection phail jata hain. Jab aap nakhoono ko chabaate hain toh bacteria, yeast aur dusre virus, toote-phoote nakhoono ke jariye jism mein daakhil ho jate hain, Jisse nakhoono ke aas-paas lalima, sujan aur puss ho jate hain. Is takhleefdeh situation ko surgery ke jariye theek kiya jata hain.
Daanto se nakhoon chabaane ya kaatne se rokne ke liye apnaye yeh upay ;-
• Ungliyo par kuch aise tatv daale jo aapki jeebh ke liye acche na ho jaise vinegar, hot sauce ya dusre kuch khatte swaad wali cheeze.
• Nail biting ki aadat ko door karne ke liye behavioral therapy ka bhi sahara le sakte hain.
• Nakhoono ko hamesha chhote rakhe ya manicure karwaye.
• Apne haatho ko kuch activities mein busy rakhne ki koshish kare jaise seelai, bunaai aur bhi kai kaam jo haatho se kiye jate ho.
Post a Comment