Header Ads

Pregnant women ke liye kesar ke fayde.

Pregnant women ke liye kesar ke faydeWorld ka sabse expensive masala ya herb kesar hain. Kesar ko English mein saffron kahte hain, jo ki apne guno ki wajah se  duniya bhar mein bahut hi famous hain. Jyadatar log iska istemal gora rang pane ke liye karte hain.


Kesar mein Thiamine aur Riboflavin naam ka tatv mauzood hota hain jo health ke liye bahut hi faydemand hain. Kai logo ka vishwas hain ki garbhavati mahila ko agar kesar ka sewan karwaya jaye toh isse baccha gora paida hota hain, Halaki iske upar koi research nahi hua hain, Lekin doctors ka manana hain yeh sirf myths hain. Kyonki bacche ka rang gora hona parents ke Jeans par nirbhar karta hain. 


Kesar se hone wale bacche ka rang gora ho ya na ho lekin Agar garbhvati mahila (Pregnant woman) kesar ka istemal pregnancy mein karti hain toh usay iske bahut saare fayde aur benefits hote hain.

Pregnant women ko din mein sirf 4 baar reshe kesar ka sewan doodh ke saath karna chahiye, isse uska blood pressure normal rahta hain aur yeh mood ko bhi accha banata hain. Iske istemal se muscles ke pain mein bhi aaram milta hain.

Pregnancy period ke dauran mahila ko pachan sambandhi kai saari problems hoti hain, kyonki body mein blood circulation mein aniyamitata ho jati hain. Aise mein kesar ka sewan karna faydemand rahta hain, Isse pet ki problems door hoti hain.

Pregnancy ke dino mein pet mein ainthan hone par uncomfortable feel hota hain, aise mein kesar pain relief ke taur par kaam karta hain. Yeh pet dard se aaraam dilwata hain.

Garbhavati mahila ko 5th month mein bacche ke ghoomne ka ahsaas hona shuru ho jata hain. Kesar wala doodh peene se yeh ahsaas acchi tarah se hota hain. Isse istemal se body ka temperature balanced rahta hain. Lekin bahut jyada matra mein kesar ka sewan nahi karna chahiye.

Garbhavati mahila ko kai baar aankho mein tanaav mahsoos hota hain, Agar veh kesar ko doodh mein mila kar piye toh uski aankho ko aaram milega, khas karke tab jab unhe koi aankho se related koi problem ho.

Kesar ek tarah ka blood purifier ka kaam karta hain, Isse Kidney aur Liver ki problems bhi door hoti hain.

Halaki Kesar apne guno ki wajah se pregnancy mein kafi faydemand hain. Lekin iski jyada matra mein iska sewan nahi karna chahiye. Aur toh Bazaar mein shuddh kesar jaldi se nahi milta hain, Kyonki bazaar mein milavati kesar jyada paya jata hain, iski wajah yeh hain ki kesar bahut mahenga hain, isliye isme milavat ki jati hain. Is milavati kesar ke upyog se aapko nuksaan ho sakta hain. Isliye Shuddh kesar aapki pregnancy mein fayda pahuchata hain, lekin amooman yahi salah di jati hain ki milavati kesar hone ki wajah se pregnant women iska sewan na hi kare toh behtar hain. Lekin shuddh kesar mil jaye toh isse parhez nahi kiya ja sakta hain.