Garm doodh ke saath Gud khane ke fayde. (Benefits of Hot milk with jaggery in Hindi/Urdu.)
Garm doodh ke saath Gud khana health ke liye bahut hi faydemand rahta hain. Aap shayad yeh nahi jante hain ki Gud aur Garm doodh dono ko ek saath mila kar peene se sehat ko bahut hi jyada fayde hote hain. Yeh complicated se complicated bimariyo ko sahi kar sakta hain.
Sabhi logo ko pata hain ki Doodh peena acchi sehat ke liye bahut hi jaroori hain. Lekin garm doodh peene se hame aur bhi jyada fayde hote hain, Lekin Garm doodh ke saath agar Gud khaya jaye toh isse aapka wajan control mein rahta hain aur aapki tavcha mein bhi nikhaar aata hain. Aaj hum aapko batayenge ki garm doodh ke saath Gud khane se hame kya benefits hote hain.
Doodh mein acchi matra mein Vitamin A, B, D ke alawa Calcium, Protein aur Lactic Acid paya jata hain. Vahi dusri aor Gud mein jyada matra mein sucrose, Glucose, Minerals aur kuch matra mein paani paya jata hain. Iske alawa isme bharpoor matra mein Calcium, Phosphorus, Iron aur Manganese paya jata hain. Janiye Garm doodh aur Gud ko mila kar peene ya khane ke kya fayde hote hain. (Benefits of Hot Milk with Jaggery In Hindi/Urdu.)
Khoobsoorti badhata hain :- Garm doodh aur gud ko khane se aapki skin soft banti hain aur aapko skin se related problems se bhi chhutkara milta hain. Iska sewan karne se aapke baal bhi healthy bante hain.
JOdo ka dard door karta hain :- Gud khane se jodo ka dard door hota hain. Rojana gud ko adrak ke saath pees kar khane se jodo mein majbooti aati hain. Garm doodh aur Gud khane se joint majboot bante hain aur joints pains se aaram milta hain.
Thakaan door bhagaye :- Agar aap bahut zyada thakaan mahsoos kar rahe ho toh Garm doodh aur gud ka sewan kare. Isse aapko turant energy milti hain. Iske alawa rojana 3 chammach gud khaye. Isse aapko kabhi thakaan mahsoos nahi hogi.
Khoon saaf karta hain :- Gud mein aise gun paye jate hain jo sharir mein mauzood gandagi ko saaf karta hain. Isliye rojana Garm doodh ke saath Gud jaroor khana chahiye. Isse aapka khoon saaf hota hain aur sharir ki gandagi bhi bahar nikal jati hain, jisse aapko koi bimari nahi hogi.
Periods ke dard ko theek kare :- Kaha jata hain ki agar aapko kabhi dard ho toh Garm doodh peene se turant aaram mil jata hain aur agar mahilaon ko periods ke dauran dard ho raha ho toh Garm doodh ke saath Gud khane se unko periods ke dard se nijat mil jati hain. Ya phir periods shuru hone se 1 hafte pahle 1 chammach gud ka rojana sewan kare. Isse aapko dard se nijat mil jayega.
Motapa control kare :- Mana jata hain ki agar aap garm doodh ke saath Chini istemal karte hain toh iski jagah Gud ka istemal kare. Kyonki aisa karne se aapka wajan control mein rahega. Jisse aap motape ke shikaar nahi honge.
Pet se related problems ko theek kare :- Agar aapko hajme se judi preshaniya hain toh Garm doodh ke saath Gud khane se aapko pet se related sabhi problems se chhutkara mil jata hain.
Post a Comment