Header Ads

Hair fall rokne ke upay (Totke) in Hindi/Urdu.

Hair Fall Solution in Hindi.
Sabhi logo ko apne baalo se bahut pyaar hota hain. Log chahte hain ki unke baal hamesha healthy aur ghane bane rahe. Lekin jab  baal girane ya jhadne lagte  hain toh yeh tension wali situation ban jati hain. Hair fall hona bahut hi gambhir mamla hain. Androgenetic alopecia ek aisi bimari hain, Jiske hone par baal puri tarah gir jate hain aur naye baal bhi nahi aate hain. Iske alawa baalo ke girne ya jhadne ki aur bhi kai wajah ho sakti hain Jaise :- 

○ Hormones ka balance bigadna. ○ Radiation ke contact mein aana. ○ Chemical wali medicine khane ki wajah se. ○ Baar-baar Hair style change karne ke karan. ○ Bhojan mein Iron ki kami ka hona. ○ Tension ki wajah se. ○ Baalo par zor-zor se kanghi phirane ki wajah se. ○ Lambe samay se chali aa rahi bimari ki wajah se. ○ Kai baar delivery ke baad bhi baal girne ki problems hone lagti hain. 

Baalo ko girane  se rokne ke liye aaj hum aapke saamne pesh kar rahe hain kuch aise gharelu nuskhe aur upay, Jinhe ajmakar aap Hair  fall se chhutkara pa sakte hain. 

Baal Jhadne(Girane) ko rokne ke gharelu nuskhe aur Upay (Totke). Hair Fall solution & home remedies in Hindi/Urdu. 

• Seer ke jin hisso par baal kam ho gye ho, Oon jagaho par  Pyaaz ka ras lagakar massage kare. Aisa tab tak kare, Jab tak oon hisso ki chamadi halki lal dikhayi na dene  lage. Iske baad baalo ki jado mein halka sa shahad  laga kar kuch der tak  laga  rahne  de. Phir seer  ko dho le. Baal ghane hone lagenge aur  ganjepan ki problem se bhi chhutkara milega. 

• Arandi (Castor Oil)  aur Badam ka tel ko barabar matra mein mila kar hafte mein ek baar baalo mein lagaye, Isse baal girna band ho jayenge. 

• Amarbel (Amar Bail)  ko paani mein ubaale. Is paani se baalo ko dhone se baal girane ki samsya khatm ho jati hain. 

• Ek pyaaz ko kaat kar usey 1 glass  Rum (Ek tarah ki sharab) mein raat bhar ke liye daal de. Dusre din rum ko chhan le. Pyaaz ke tukade  alag ho jayenge. Is rum se baalo ki massage kare. Hafte mein 2 baar aisa karne se baal jhadne band  ho  jate hain. 

• Neem ki pattiyo ko paani mein ubaal le. Is paani ko thanda karke chhaan le. Kisi herbal shampoo se baal dho le. Baal dhone ke baad aakhir mein neem ke paani ko baalo mein daale. Isse baal healthy ho jayenge. 

• 1 Chammach Shahad aur 1 Chammach Dalchini powder mein thoda sa Jaitoon ka tel  mila kar paste banaye. Nahane se pahle is paste ko baalo mein acchi tarah se lagaye. 15 Minutes baad garm paani se baal dhoye. Aisa karne se kuch hi dino mein baal girne  ki  problem door ho jayegi. 

• Nariyal ka tel ya Badam ke tel se baalo ki halki-halki maalish 1 se 15 minutes tak kare. Iske baad  halke garm paani mein tauliye (towel) ko  bhigo  kar baalo par  lapet le. Ise 2-3 minutes tak aisa hi rahne de. Aisa kuch dino tak lagatar karne se baalo ki jadein majboot ho jati hain. Saath hi baal girna kam ho jate hain aur naye baal bhi ugane lagte hain. 

• Amar Bel ko pees kar usay Til ke tel mein 20 Minutes tak ubaale. Is tel ko kam baal ya ganje seer par lagane se baal phir se aa jate hain. 

• Til ki jad  aur Patto ka kadha bana le. Is kadhe se baalo ko dhoye. Isse baalo ka rang  kala ho jata hain. Saath hi Til ka tel rojana baalo mein lagane  se baal girna band  ho jate hain. Dandruff se bhi chhutkara milta hain. 

• Rojana aadha mutthi Til ke kale ya safed daano ka sewan kare. Yeh beej calcium se bharpoor hote hain. Inke sewan se baal ghane, majboot aur kale ho jate hain.