Kidney stone mein rahat deti hain yeh 10 cheeze.
Unbalanced Lifestyle, Wrong Khan-paan aur sahi tarah ki activity ke na hone se gurdey ki patthari hone ki problem hoti hain, Jise Kidney stone bhi kaha jata hain. Present Lifestyle mein jyadatar logo ko gurde ki patthari ho jati hain, Lekin isse hone wala dard bahut hi bhayankar hota hain. Isse bachne ke liye jaroori hain ki Kidney ko saaf aur healthy rakhne wale food ko khaya jaye. Aaj hum aapko aisi hi 10 cheezo ke baare mein batane ja rahe hain, Jo aapko Kidney stone se bachane mein help karegi.
Kidney stone se bachne ke liye in cheezo ka kare istemal :-
1. Patta Gobhi :- Patta Gobhi khane se Kidney ko clean rakhne mein help milti hain aur zehreele tatv bahar nikal jate hain. Isme Potassium ki quantity kam hoti hain aur Vitamin K bahut jyada paya jata hain. Isliye Patta Gobhi kidney ke liye kafi mufeed hain.
2. Tulsi :- Kidney stone hone par Tulsi ke patto ko khana bahut hi labhdayak hota hain. Isme paya jane wala Vitamin B patthari se nijaat dilane mein help karta hain. Ek research ke anusaar Vitamin B ki 100-150 Milligram quantity niyamit roop se lene se gurde ki patthari se nijat milta hain.
3. Beil Patra :- Beil Patra sirf Shankar bhagwan ki puja ke liye hi kaam mein nahi aata hain, Balki yeh Kidney stone mein bhi faydemand hain. Beilpatra ko paani ke saath pees le aur ise subah ke waqt saboot Kali mirch ke saath khaye. 14 Din tak iska istemal kare, Yeh Kidney stone mein fayda degi.
4. Saunf :- Saunf gurdey ki patthari ke liye ek behtarin aushidhi hain. Yeh aapki kidney ko saaf-suthra rakhne ka upchaar hain. Saunf, Mishri aur Sookha dhaniya ki 50-50 gram matra ko lekar raat ko dedh litter paani mein bhigo de. 24 ghante baad ise chhan kar paste banaye. Ab aadha glass paani mein ek chammach yeh paste mila kar piye , Isse kidney saaf hoti hain aur patthari bahar nikal jati hain.
5. Amla :- Amla churan aur Mooli ko ek saath mila kar khane se gurde ki patthari bahar nikal jati hain. Isme Albumin aur Sodium Chloride ki matra bahut hi kam hoti hain, jo patthari ke upchar ke liye faydemand hain.
6. Lal Angoor :- Heart aur kidney ko healthy rakhne ke liye Red Grapes bahut hi faydemand mane gye hain. Yeh Kidney se zehreele tatvo ko bahar nikaal kar kidney ko saaf aur sehatmand rakhne mein madad karta hain. Isse Kidney mein stone nahi ban pate hain ya jaldi se bahar nikal jate hain.
7. Dahi :- Dahi bhi gurdey mein patthari hone par ilaj ke faydemand hain. Isme mauzood Probiotic bacteria kidney ki safai kar nuksaandeh padartho ko bahar kar deta hain. Isse kidney stone ki problem nahi hoti hain.
8. Jeera ;- Jeere ko Chini ki barabar matra mein mila kar pees le. Is misharan ke 1 chammach din mein 3-4 baar paani ke saath lene se fayda hota hain. Rojana thande paani se ise lene se kidney stone peshab ke jariye bahut jaldi nikal jati hain.
9. Bathua :- Aadha kilo bathua ko 800 ml. paani mein ubaal le, Phir ise kapde se acchi tarah chaan le. Batuhaa ko acchi tarah ab masal le aur isme aadha chammach Kali mirch aur Sendha namak mila kar din mein 3-4 baar iska sewan kare. Isse gurde ki pathari nikal jati hain.
10. Chaulai :- Chaulai ki sabzi ya iska soup dono hi kidney stone mein faydemand hote hain. Iske alawa chaulai ki pattiyo ko ubaal kar chaba kar khana faydemand hota hain. Yeh gurdey ki patthari ko galane mein ramban upchar hain.
Post a Comment