Header Ads

Orange (santra) kyon hain chamatkaari phal.

Orange  photo.
Orange khana har umar ke logo ko bahut pasand aata hain. Ek limit mein Santra khana health ke nazriye kafi faydemand rahta hain. Orange Juice toh sadiyo se apne aushdhiya guno ke wajah se jana jata raha hain. Aaiye jante hain Santra khane se hame kya-kya fayde hote hain.


1. Dil ke liye hain Faydemand :- Santre mein mauzood Potassium, Folic Acid aur Calcium, Cholesterol ke level aur High Blood pressure ko control mein rakhta hain. Yeh tatv koshikaon mein Electrolytes ko balance karke heart ko healthy rakhne mein madadgar hain.

Potassium brain mein oxygen ke circulation mein help karta hain, jisse tension aur depression mein rahat milti hain.

Orange mein mauzood Fructose, Dextrose jaise Minerals, body mein energy paida karte hain aur dil aur dimaag ko nayi shakti aur taazagi se bhar dete hain.

2. Arthritis ke treatment mein faydemand :- Apne Anti-Oxidants guno ki wajah se santra gathiya mein hone wale muscles aur joints ke pain mein rahat pahuchata hain. Daily 1 glass orange Juice peene se gathiya hone ka khatra kafi kam ho jata hain.

3. Kabz se dilata hain rahat :- Santre mein mauzood fiber aur Amino Acid pachan tantra par alkaline effect daalta hain. Isse pachak ras ke bahaav ko badhawa milta hain aur kabz, pet mein akdan, Gas, apach jaisi problems se rahat milti hain. Fiber pachan ko badhawa dene aur Pachan tantra se related bimariyo ko rokne mein bhi help karta hain.

4. Badhti umar ke effect ko kam kare :- Santre mein mauzood Anti-Oxidants umar badhne ke saath-saath Skin par padne wale wrinkles ko kam karte hain. Santre ka ras aur Chhilka skin par lagane se skin daag-dhabbo aur pimples jaise problems se free ho jati hain aur Komal ban jati hain aur aapki tavcha mein ek naya nikhaar aa jata hain.

5. Cancer se bachata hain :- Vitamin C se bharpoor Orange mein Anti-Oxidants aur Limonin, Free Radicals se body ke cells ko damage hone se bachate hain. Limonin hamare body mein lagbhag 8-10 hours tak active rah sakta hain, Jo cancer cells ki growth ko badhne se rokta hain. Orange ko rojana khane se Skin, Lungs, Breast, Mouth, Stomach aadi ke cancer ko rokne mein madad milti hain.

Yeh Gastric Ulcer ke khatre ko kam karne mein bhi helpful hain. Orange mein mauzood Pactine Fiber hame Cancer se bachata hain.

6. Teeth aur Bones ke liye hain accha :- Vitamin A aur Calcium se bharpoor Orange ke niyamit sewan se haddiyo aur daanto ki sehat ko badhawa milta hain. Yeh kuch hud tak Osteoporosis ki roktham karne mein bhi helpful hain.

7. Blood Sugar Level normal banaye :- Fiber ka good source hhone ki wajah se Orange Sugar ko fructose mein convert kar deta hain. Is tarah Santra meetha hone ke bawjood Sugar level ko control karke diabetes ke mareezo ke liye behatar phal hain.

8. Immune system strong banaye :- Orange mein mauzood Vitamin C aur A, Blood mein White Cells ke production ko badhate hain, Jisse body ki immune system majboot banta hain.

9. Women ke liye bhi hain faydemand : - Pregnant Woman aur Liver rog se peedit mahilaon ko santra jaroor khana chahiye. Iske sewan se delivery ke time hone wale dard aur dusri problems mein aaram milta hain.

10. Nutrients ka khazana hain :- Khatte phalo ki category mein aane ki wajah se Orange Vitamin C ka khazana hain. Vitamin C ki hamari rojana jaroorat ko sirf ek santra pura karne mein capable hain. Iske alawa yeh Vitamin A, B Complex , Flavonoid, Amino Acid, Calcium, Iodine, Phosphorus, Sodium, Manganese Jaise poshak tatvo ki khan bhi hain.

11. Kidney stone se bachata hain :- Orange mein paya jane wala Citric Acid Peshab ke rog aur Gurda rogo ko door karta hain. Niyamit roop se Santra khane se Urine ke jariye Citric Acid ka production se PH level mein sudhaar hota hain. Isse Kidney se calcium ko bahar nikalne mein madad milti hain, Jisse Kidney mein stone hone ka khatra kafi kam ho jata hain.

12. Cold –Cough se rahat dilata hain :- Santra Iron ko sokhne mein madad karta hain. Isse na kewal sardi-khansi se rahat milti hain, Balki yeh dry cough ko patla karke naak aur fefdo se bahar nikaalta hain. Cough ko sharir se bahar nikalne ke liye aane wali sabhi rukavto ko door karta hain.


To dosto aapne jana ki Santra hamare sharir ke liye kaise faydemand hota hain. Santra (Orange) khane se hame kaun-kaun se benefits aur fayde hote hain. Toh aap bhi Santra khaye  aur healthy rahe. Is blog ka aim hi hain aapko healthy Life jeene ke liye phal-fruits, Diet aadi ke baare mein jankaari dena aur veh bhi Simple Hindi ya Urdu mein. Agar  aapko mera yeh blog pasand aata hain toh aap ise Facebook par bhi like kar sakte hain. Facebook ka Page  hain yeh :-

www.facebook.com/Hinglishpedia

Aap chahe toh Hinglishpedia ko Twitter par  bhi follow kar sakte hain. :-

www.twitter.com/Hinglishpedia