Header Ads

Whiteheads ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay.

Home  remedies for whiteheads in Hindi/Urdu. Whiteheads ke liye gharelu nuskhe.
Whiteheads ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay kya hain? Home remedies for whiteheads in Hindi/Urdu? How remove whiteheads ? Whiteheads ko kaise khatm kare ya hataye? In swaalo ka jawaab janne ke liye puri post padhe.

Yuvavstha mein chehre par pimples, black heads, white heads ki problem bahut common hain. Aise mein in problems se chehra dull hone lagta hain. Agar aapke saath hi yeh problem hain toh khoob saara paani piye. Sabziya, Phal aur Vitamin E, A aur C se bharpoor cheezo ka sewan kare.

Agar aapke seer mein dandruff hain toh seer ko saaf rakhe. White heads ko kabhi bhi fodna nahi chahiye, Kyonki isse moohase hone lagte hain. Fast food ka sewan nahi karna chahiye. Agar aap yeh gharelu nuskhe ajmayenge toh Whiteheads gayab ho jayenge.

• Toothpaste :- Toothpaste mein mauzood fluoride pimples aur Whiteheads dono ko theek karta hain. Aapko sirf Gel wala toothpaste lagana hoga aur kuch minutes baad aap ise thande paani se dho le.

• Anda aur Shahad :- Ande ke safed hisse ke saath 1 Chammach Shahad mix kare. Infected areas par lagaye. Isse aapke white heads saaf ho jayenge. Ise 20 minutes tak lagane ke baad paani se chehra dhoye.

• Doodh :- 1 Chammach Nimbu ke ras mein 2 Chammach Doodh aur thoda sa namak mix kare. Ise chehre par halke haatho se massage kare. Phir 20 minutes baad chehre ko saaf paani se dho le.

• Tea Bag :- Chai banane ke baad istemal kiya hua Tea bag se aap white heads ko door kar sakte hai. Is tea bag se chai ki pattiyo ko nikaal kar white heads par ragadne se white heads khatm ho jate hain. Aisa hafte mein 2 baar kare. White heads saaf ho jayenge.

• Aloe Vera gel :- Chehre ko pani se dhone ke baad uspar Aloe Vera gel lagaye, Isse aapko labh hoga. Aisa rojana karne se white heads dheere-dheere khatm ho jate hain.

• Apple Cider Vinegar :- Apple Cider Vinegar whiteheads ko sookha deta hain. Apne chehre ko garm paani se bhaap dene ke baad thodi si rooi ko apple cider vinegar mein bhigo kar infected areas par lagaye, Uske baad chehre ko kuch der tak na dhoye.

• Paani :- Daily 3 litter paani piye aur chehra oily hain toh usay din mein kai baar paani se dhoye.

• Nimbu :- Apne face par Nimbu ka ras halke halke haatho se ragde. Isme mauzood acid pores ko open karega. Saath hi white heads ko bahar nikaalne mein bhi madad karega. Nimbu ka ras zyada oily skin ko bhi normal bana deta hain, Jisse white heads khatm ho jate hain.

• Chawal ka scrub :- Mutthi bhar chawal ko 5 ghante ke liye paani mein bhigo de. Phir iska paste bana kar scrub ke roop mein istemal kare.

• Shahad :- Honey mein Anti-Bacterial gun hote hain, Ise chehre par lagane se black heads aur whiteheads dono hi saaf ho jate hain. Shahad ko chehre par 10 minutes tak lagaye rakhe aur phir uske baad halke garm paani se chehre ko dho le.

• Corn Starch : 3 Chammach Corn Starch ko 1 chammach White Vinegar mein mix kare aur paste banaye. Ise infected areas par apply kare aur 15 minutes ke baad hot water se face ko dhoye.