Header Ads

Delivery ke baad maa ko jaroor khani chahiye yeh 6 cheeze.

Delivery ke baad jaroor khaye yeh cheeze.
Delivery ke baad nayi maa ko jaroor khani chahiye yeh cheeze. After Delivery new mother must be eat these 6 super food.

Aam taur par mahilayein jitni pregnancy period ke time jitni healthy diet leti hain, utni delivery ke baad nahi leti hain. Delivery ke baad bhi utna hi healthy khana khane ki jaroorat hoti hain, Kyonki delivery ke baad kafi kamjori aa jati hain. .

Is kamjori se ubarne ke liye women ko chahiye ki veh apni diet mein aise food ko shamil kare , Jisse unhe poshan ki saari jaroorate puri ho. Is baat ka dhyaan rakhna chahiye ki aapka baccha puri tarah se aap par dependent hain aur usay aapke jariye hi poshan prapt hoga. Experts ki mane toh maan ko lagbhag 1 saal tak bacche ko breastfeed karana chahiye. Isse baccha kai khatarnaak bimariyo se surakshit rahta hain. .

Aise mein yeh jaroori hain ki bacche ko sampooran poshan mile, Iske liye har maa ko apne khan-pan mein in super food ko jaroor khana chahiye. .

♦ Doodh :- Doodh ko ek sampooran aahaar mana jata hain. Isme Vitamin D, B aur Protein hone ke saath hi kai tarah ke poshak tatv bhi mauzood hote hain. Iske saath hi isme mauzood calcium haddiyo ko majboot banane mein ahem role ada karta hain. .

♦ Brown rice :- Brown rice carbohydrates ke sabse acche source hote hain aur nayi bani maaon ko apni diet mein ise jaroor shamil karna chahiye. Yeh energy level ko banaye rakhne ke saath saath sugar level ko bhi balance mein rakhta hain. Brown rice ko banane se pahle kuch der ke liye bhigo kar rakh dena hi behtar hoga. Aisa karne se yeh asaani se pach jata hain. .

♦ Badam :- Badam Vitamin E ka good source hone ki wajah se nayi bani maaon ke liye bahut hi faydemand hain. Isse paya jane wala Omega-3 Fatty Acid bacche aur maa dono ke liye faydemand hota hain. .

♦ Anda :- Delivery ke baad ladies ko protein ki sabse jyada jaroorat hoti hain. Anda protein ka sabse accha source hain. Isse body ko takat milti hain. Iske alawa yeh Vitamin D se bhi bharpoor hote hain. Jisse haddiya majboot banti hain. Ise aap kisi bhi roop mein le sakti hain, Lekin ubaal kar khana behtar hoga. .

♦ Palak :- Palak Iron ka khazana hain. Iske saath hi yeh Vitamin A ka bhi accha source hain. Isme milne wala folic acid, naye blood cells ko banane mein bhi madad karta hain. Aap chahe toh ise bina pakaye acchi tarah se dho kar kaccha salad ke roop mein bhi kha sakti hain. Agar aap iska juice bhi leti hain toh yeh aur bhi zyada faydemand hoga. .

♦ Oats :- Delivery ke baad liye jane wale tatvo mein fiber bhi ek jaroori tatv hain. Oats Fiber ka accha source hone ke sath hi iron ki jaroorat ko bhi puri karne mein upyogi hain. Ek garm bowl oatmeal maa ko tension se bhi door rakhta hain.