Header Ads

Aapka First Aid box kaisa hona chahiye ?

First Aid box ke fayde.
First Aid Box :- First Aid box yani ki physical chot lagne ya mamuli bimar hone par aapka sabse pahla saathi hain. Yeh veh box hain jisme mauzood medicines aur kuch jaroori cheeze aapko temporary relief deti hain, taki aapko doctor ke paas pahuchne tak aap safe rah sake. Aayiye jante hain First Aid box se related kuch tips aur jankari ke baare mein :-

Kyon jaroori hota hain First Aid box ?

Example ke taur par maan lijiye raat ke 1 baje hain aur aapke seer mein dard ho raha hain. Ab aise mein ghar mein sardard ki koi dawaai na mauzood ho tab. Aisa hi ek example aur samajh lijiye, maan lijiye jaldbazi mein sabzi kaatate huye aapka haath chaaku se cut gya aur tez khoon bahne laga. Lekin ghar mein na toh bandage hain aur na hi kuch aisa hain jo aapko rahat pahucha sake. Inhi situation se nipatne ke liye ghar mein first aid box jaroor hona chahiye.

First Aid box mein kaun si dawaayian rakhni chahiye?

Vaise toh koi bhi medicine doctor se salah lekar hi khani chahiye, Lekin kuch medicine aisi hain jo aap bina doctor ki salah ke bhi le sakte hain, bas oon medicine ki expire date khatm nahi honi chahiye. Isliye aapke ghar mein yeh dawaayian hamesha mauzood rahni chahiye. Bandit, Bandage aur Medicated Cotton , Khule jakhm par infection hone ka khatra rahta hain. Isliye ghar mein bandage jaroor rakhe. Mamooli katne-chhilne par bandage aapko infection se bacha sakta hain. Saath hi aap patti ka bhi istemal kar sakte hain. Medicated Cotton bhi jaroor rakhna chahiye, Isse jakham ko saaf karne mein sahayta milegi.

Anti-Allergic :- Skin mein hone wale khujali se rahat paane ke liye Anti-allergic medicine bhi first aid box mein jaroor rakhna chahiye.

Bam :- Seer dard, Kamar Dard, Haath pain mein dard aur sard jukaam mein upyogi hain. Isse dard se turant rahat milegi. Saath hi muscles pain cream bhi rakhe, Isse muscles aur body mein dard hone par lagane se aaram milta hain.

Electoral :- Mausam ke badalne se body mein minerals ki kami ho jati hain. Aise mein Electoral ya ORS is ki kami ko door karte hain.

Pet ke liye liquid aur Antacid:- Pet kharab, Dast, Badhajmi ke liye Pepto bismol kargar hain. Saath hi Pudin Hara, Eno, Diegin, jaisi dawaayia bhi faydemand hain. Kharab khana khane se pet mein marod, pet dard, kabz, gas jaisi takhleefe hoti hain. Aise mein Antacid se pet ki problems mein aaram milta hain.

Anti-Septic Cream aur lotion :- Katne chhilne par Anti-Septic cream ya Solution ka istemal kare. Anti-Septic Cream bacteria ko paida nahi hona deta hain, Is tarah aap infection se aap bach sakte hain. Apne first Aid box mein Dettol ya savlon ki bottle jaroor rakhni chahiye.

Thermometer :- Thermometer bahut hi jaroori hota hain, Taaki bukhaar hone par body ka temperature mapa ja sake.

First Aid Box ko kaha rakhna chahiye :-

Ise hamesha aisi jagah par rakhna chahiye, jaha par aksar aapki nazar padti ho. Taki emergency mein aapko ise dhoondhne mein zyada mehanat na karni pade. Dhyaan rahe ki family ke sabhi members ko First Aid box ki location ke baare mein acchi tarah se maloom hona chahiye. Aap ise apne bedroom ya dying room mein bhi rakh sakte hain.

First Aid box kab kaam aata hain ?
Medical Emergency mein yeh first aid box bade kaam ki cheez saabit hoti hain. Ghar ka sabse chota member ho ya koi bada buzurg isme sabhi ko rahat dene wali dawaaian hoti hain. Jaise ki halka bukhaar, pet mein dard, seerdard, acidity, badhazmi, dast, halki chot, cut jana yeh aisi cheeze hoti hain, jo kabhi na kabhi aapke ya ghar ke kisi member ke saath ho sakti hain. First Aid box mein mauzood medicines bina Hospital ke chakkar lagaye aapko sabse badi rahat deti hain. Aap family rahte hain ya PG mein , Ghar mein rahte hain ya Hostel mein, Yeh first aid box aapke saath hamesha hona chahiye.