Shaving ke baad razor ki jalan ko door karne ke upay.
Kya aapko hamesha shaving karne ke baad tavcha mein jalan, rashes aur lal chakatte pad jate hain? Iska asar itna jyada hota hain ki agar chehre par lotion ya cream bhi lagaya jaye toh bhi yeh theek nahi hota hain. Aaj hum aapko kuch aise hi natural upchar batayenge jinhe apna kar aap Shaving ke baad razor burn se araam se chhutkara pa sakte hain.
Rajor burn door karne ke natural upay :-
1. Hamesha dhyaan rakhe ki shaving karte samay razor saaf ho aur usey daadhi banate samay upar nahi balki neeche ki taraf istemal kare. Galat tarike se kiya gya shave aapke chehre ko nuksan pahucha sakta hain.
2. Shaving ke turant baad cut lagne par petroleum jelly ya moisturiser lagaye, Isse dry ho chuki skin mein thodi nami milti hain aur jalan ka asar kam hota hain.
3. Razor burn ko door karne ke liye aap Aloe Vera gel ka bhi istemal kar sakte hain. Jalan wali jagah par 15-20 minutes ke liye is gel ko lagaye aur uske baad thande paani se chehre ko dho le. Yaad rakhe aap apne chehre ko tab tak garm paani se na dhoye jab tak razor burn puri tarah se theek na ho jaye.
4. Dardrahit shaving ke liye koshish yahi honi chahiye ki aapki daadhi naram ho. Shaving se pahle chehre ko paani se acchi tarah se dhoye, Isse chehre ke pores khul jayenge aur daadhi banane mein asaani hogi. Iske baad shaving cream lagaye aur bilkul saavdhani se shave kare.
5. Chehre ko tab tak shave na kare jab tak oos par koi jalane-katne ki problem theek na ho jaye. Iski jalan ko kam karne ke liye aap Apple ke juice ka bhi istemal kar sakte hain.
6. Shaving karte waqt agar chehra cut ya chhil jaye toh bina der kiye oos jagah par barf ragde, Jisse jalan kam ho jayegi.
In tariko ka istemal karke aap chehre ki jalan se chhutkara pa sakte hain.

Post a Comment