Barf wala paani peene se hote hain yeh nuksaan.
Hum se kai log aise bhi hain jinhe saada paani bhi accha nahi lagta hain, Lekin unhe barf wala paani zyada satisfy karta hain. Kya aapko pata hain barf (burf/Ice) wala paani peene ke nuksaan bhi hote hain. Side-Effects of drinking Ice Water in Hindi/Urdu.
Agar baat physically temperature ki kare toh uske base par hame 20 se 22 degree Celsius temperature wala paani hi peena chahiye, Isse jyada garm aur isse jyada thanda paani sehat par kanhi na kanhi bura effect toh jaroor hi daalta hain. Bahut kam logo ko pata hain ki paani jitna thanda hota hain, usay pachane mein utna hi zyada waqt lagta hain. Is tarah bahut thanda paani health par bura effect daal sakta hain.
Barfila paani peene ke nuksaan :-
1. Immune System par asar padta hain :- Har baar zyada thanda aur barf wala paani peene se body ki immune system par bura asar padta hain, Jiski wajah se aisa paani peene walo ko hamesha hi Sardi-Jukaam ka saamna karna padta hain.
2. Dhamniyo par asar :- Burf wala paani peene se dhamniyo par asar padta hain aur veh sikood jati hain, jo kisi bhi situation mein theek nahi hain.
3. Aant aur Bawaseer ki problem :- Bahut zyada thand se cheeze jam jati hain aur hamara sharir bhi iss prakriya se alag nahi hain. Bahut zyada thanda paani peene se potty (mall) sakht hota hain, Jisse bawaseer ya phir aanto mein ghaav ki problem ho sakti hain.
4. Pachan se related problems :- Thanda paani pachne mein adhik waqt leta hain, Jiske nateezan aisa paani peene ke baad bhookh lagne ki natural process prabhavit hoti hain.
5. Body ki energy ka bekaar jana :- Bahut jyada thanda paani peene se usay pachane mein jyada time lagta hain. Paani ke pachan se pahle sharir ki androoni process oos paani ko body ke temperature ke barabar lati hain aur phir uske baad uska pachan hota hain. Isse poshan milne mein kafi waqt lag jata hain.

Post a Comment