Header Ads

Jyada Calcium lene se hote hain yeh nuksaan. (Side effects of overdose of Calcium in Hindi/Urdu.)

Jyada calcium lene ke nuksaan aur Side-effects.
Calcium ke overdose lene par sharir ko kya nuksaan aur side-effects hote hain? Calcium ke kya nuksaan hain? Agar aap sabhi log bhi yeh janna chahte hain ki calcium ki zyada matra aapko kaise nuksaan pahuchati hain toh yeh post jaroor padhe. Calcium Side-effects in Hindi/Urdu.

Calcium hamari body ke liye bahut hi jaroori hain, Iski kami se haddiya kamjor ho sakti hain aur daanto aur nakhoono ka vikas bhi sahi tarah se nahi ho pata hain. Lekin kya aap jante hain ki Calcium ki jyada matra aapke liye nuksandeh saabit ho sakti hain? Yeh baat bilkul sach hain, Har kisi cheez ke jaha apne kuch fayde hote hain, Vahi uske kuch nuksaan bhi hote hi hain. Jante hain Calcium ki zyadati se hone wale 5 nuksaan ke bare mein :-

1. Body mein jaroorat se zyada calcium ka istemal karne se kai baar body mein Magnesium ki kami ho jati hain, Jo aapke haddiyo ke alawa sehat ke lihaz se bhi bahut khatarnaak hain.

2. Jaroorat se zyada Calcium sirf aapki haddiyo par hi nahi asar daalta hain, Balki yeh Kidney mein stone bhi paida karta hain. Iske alawa yeh brain damage ke liye bhi jimmevar ho sakta hain.

3. Khoon mein Calcium ki zyadati hone se aapko Calcemia naam ki bimari ho sakti hain. Is situation mein parathyroid naam ki granthi prabhavit hoti hain aur uske kaam karne mein samsya paida ho sakti hain.

4. Calcium ko sokhne ke liye Vitamin D bahut hi jaroori mana jata hain. Agar aap Calcium ke saath sahi matra mein Vitamin D nahi le rahe hain toh yeh aapki haddiyo ke liye bilkul bhi faydemand nahi hain aur fracture hone ki wajah ban sakta hain.

5. Calcium ki jyada matra sharir mein Phosphate ke saath mil kar ek chemical ko paida karti hain, Jo haddiyo ko jyada hard bana kar bhur-bhura kar deta hain, Jo asaani se toot sakti hain. Iske alawa haddiyo mein jhukaav bhi ho sakta hain.