Header Ads

Chandan ke fayde (Benefits of Sandalwood in Hindi/Urdu).

Chandan ke fayde. Benefits of  Sandalwood in Hindi.
Chandan ke fayde (Benefits of Sandalwood in Hindi/Urdu.)

Chandan mein Antibiotic gun paye jate hain, saath hi yeh apne natural guno ki wajah se hame kai saari bimariyo se bhi chhutkara dilata hain. Hindu dharma mein Chandan ka bahut zyada mahtav hain. Ise sabse pavitra bhi mana jata hain. Puja-paath mein hawan ke dauran chandan ki lakdi ka istemal kiya jata hain. Yaha tak ki maathe par Chandan ka tika (Tilak) bhi lagaya jata hain. Lekin shayad hi aapko yeh baat pata ho ki isse aapko health benefits bhi hote hain. Ji haan maathe par Chandan ka tilak lagane se bhi aap kai saari bimariyo se bach sakte hain.

Dono aankho ke beech jis jagah par aap chandan lagate hain, usay Agni chakra kahte hain. Ise teesri aankh bhi kaha jata hain. Yaha par Chandan lagate hi hamari aankh active ho jati hain. Chandan ko thanda mana jata hain, Isi wajah se yeh kai bimariyo mein faydemand hain.

Aaiye jante hain Chandan se hame kya-kya fayde aur labh hote hain. Benefits of Chandan in Hindi.

♦ Sujan se aaram dilata hain :- Chandan mein Anti-Septic gun hote hain, jiski wajah se iska istemal sujan ko kam karne ke liye kiya jata hain. Body ke khus khas parts jaise gallbladder aur private parts mein sujan hone par chandan ka istemal karna accha mana jata hain.

♦ Tension aur Aneendra se aaram dilaye :- Neend na aane ki wajah jaroorat se zyada active brain, Mentally tension aur thakaan hain. Ayurveda mein mana gya hain ki maathe par chandan se massage karne se aapko tanaav ke saath saath aneendra se bhi nijat mil jata hain. Aromatherapy ke dauran Chandan ke tel ka istemal Tension aur thakaan ko door karne ke liye kiya jata hain. Tel mein mauzood tatv brain mein Serotonin ka production karte hain, Jisse Positivity badhti hain aur tension door hota hain.

♦ Sharir ki badboo door kare :- Chandan ka istemal sharir ki badboo ko door karne ke liye kiya jata hain. Daily Chandan ke powder ko paani mein mila kar sharir par lagane se paseena kam hoga. Isse aap ghanto tak khud ko fresh mahsoos kar sakenge.

♦ Seerdard se rahat dilaye :- Agar aap kanhi bahar gaye ho aur aapke seer mein bahut dard ho raha ho toh Chandan kafi faydemand saabit ho sakta hain. Chinese acupressure Science mein maathe yani ki dono eyebrow ke beech ki jagah ko tantrikaon ka nazdiki bindu mana jata hain. Isliye is bindu par massage karne se seerdard mein rahat milti hain. Agar aap yaha par chandan lagaye toh aapko thandak milegi. Jisse aapka sardard sahi ho jayega.

♦ Hajma durust rakhta hain :- Chandan digestion ko sahi rakhta hain. Chandan ka istemal kisi bhi roop mein karna faydemand hain. Chahe aap iska tel, lakdi, powder kisi bhi roop mein istemal kare. Yeh snayu tantra aur swasn prakriya ko majboot banata hain.

♦ Positive energy deta hain :- Mana jata hain ki dono bhauho ke beech ka bhaag aapke avachetan mann aur alag-alag process ki agwaayi karta hain. Is chakra ke karan aapke negative vichaaro ki wajah se aapke ander negative energy chali jati hain. Ise rokne mein chandan kafi labhkari hain. Isliye ise maathe par tilak ke roop mein jaroor lagana chahiye.

♦ Daant majboot banaye :- Chandan ke tel mein gums ko majboot banane wale tatv paye jate hain. Isliye jyadatar dant-manjano mein iska istemal kiya jata hain. Isse daant se related problems se bhi bacha ja sakta hain.

♦ Pimples door kare :- Chehre par Keel-moohaso ke baad chehre par daag-dhabbe rah jate hain, Jise Chandan ka lep chehre par laga chehre ko saaf kiya ja sakta hain. Chandan ka paste keel-moohaso ko hi nahi theek karta, balki isse skin clean aur moisturise bhi hoti hain. Aadha chammach Haldi powder, 1 chammach Chandan Powder mila kar paste taiyaar kare. Is paste ko apne chehre par kam se kam 15 se 20 minutes tak laga kar rakhe, Isse aapke pimples khatm ho jayenge aur aapke chehre ki rangat bhi nikharne lagegi.

♦ Baalo ko banaye healthy :- Chandan ko aap conditioner ki tarah bhi istemal kar sakte hain. Yeh baalo ko majboot banata hain, saath hi iska istemal baalo ko poshan aur chamak deta hain. Regularly iske istemal se aap apne baalo mein khud fark mahsoos karenge.

♦ Khujali ko door karta hain :- Body ke kisi bhi hisse mein khujali hone par aap Chandan powder mein 1 chammach Nimbu ka ras aur Haldi mila kar lagaye. Ise lagane se khujali toh door hogi aur saath mein lalpan bhi kam hoga. Chandan mein bacteria khatm karne ka gun hone ki wajah se yeh herbal anti-septic hain, Isliye yeh kisi bhi ghaav aur kharoch ko bhi theek karta hain.

♦ Body ka kalapan door kare :- Body ka kai hissa kala pad gya ho toh 2 Chammach Badam ka tel, 5 chammach Nariyal ka tel aur 4 chammach Chandan ka powder mila kar oose kale pad gye hisse par lagaye. Isse kalapan door ho jayega aur saath hi skin bhi chamakdaar banegi.

♦ Jakhmo ko bharne mein madad karta hain :- Chandan mein Antibiotic gun paye jate hain, jo skin ko kisi bhi tarah ke virus se mukti dilata hain. Kisi bhi tarah ke fode-funsi, jakhm aadi mein chandan ka istemal karke inhe door kiya ja sakta hain.

♦ Body ko thandak pahuchata hain :- Chandan mein aise gun paye jate hain jo sharir ko thandak pahuchate hain. Isi wajah se iska istemal chehre ko thandak pahuchane ke liye kiya jata hain. Jisse aapki skin glow karne ke saath hi aapki skin mein kasaavat bhi aati hain.